Monday, December 26, 2011

Main sab wafaoon ki ibtada hon mujhay duaaoon mein yaad rakhna

Main sab wafaoon ki ibtada hon mujhay duaaoon mein yaad rakhna
Main jazab e ulfat ki intaha hon mujhay duaaoon mein yaad rakhna

Teri muhabat ki saatoon mein teri judai ke rutjagoon mein
Main dard lamhay guzarta hoon mujhay duaaoon mein yaad rakhna

Bichar gaye hain to aab najanay kiya hal hai magar main
Shikasta khawab o shikasta paa hoon mujhay duaaoon mein yaad rakhna

Tumaray gum ke lamhay aazab ban ker uter rahay hain
Main kitnay sadme utha raha hoon mujhay duaaoon mein yaad rakhna

Woh meri zaat mein jab tak raha likhna nahe bhooli, Koi bhi dard jo mein ne saha likhna nahe bhooli...

Woh meri zaat mein jab tak raha likhna nahe bhooli
Koi bhi dard jo mein ne saha likhna nahe bhooli

Woh jo mehvar thaa likhne ka, juda ho kar mila ek din
Mila tu yeh kaha us ne suna likhna nahe bhooli

Suna hai ab bhi chaahat mein tumhara naam ‘Saail’ hai
Suna hai ab bhi tum mujh ko Khuda likhna nahe bhooli

Suna hai ab bhi tum mujh ko mere Saahir bulati ho
Suna hai mujh ko rag rag mein basa likhna nahe bhooli

Kaha ke bhool bethi hoon hatheli per hina likhna
Magar mein aasmanoo per dua likhna nahe bhooli

Samay ke uth’tay mathay per tujhe dhoonda, bahut dhoonda
Samay ke jhuktay shanoo per sada likhna nahe bhooli

Mujhe ek din mere kaatib ne likha thaa juda tujh se
Mein tujh ko aaj bhi khud se juda likhna nahe bhooli

Chupane ke leye sab dukh abhi bhi muskurati hoon
Mein ab bhi chehre per chehre naya likhna nahe bhooli

Mein ab bhi is judai mein kaii dukh dard sehti hoon
Mein ab bhi teri aankhoon ko shifa likhna nahe bhooli

Kiya thaa tarq-e-taaluq ka iraada aik pal mein ne
Mein ab bhi us iraaday ko saza likhna nahe bhooli

Batao tum mujhe Janaan! mein kaise bhool sakti hoon
Abhi qudrat mera jeevan numa likhna nahe bhooli

Judaee kaat li mein ne magar marnay se kuch pehle
Mein zindaan ke darechoon per saba likhna nahe bhooli …

khaa’n kho gaii merii zindgii na koii pata na koii khabar bhala kya milla humien ishq sey too bhe dar-badar mein bhe dar-badar...

khaa’n kho gaii merii zindgii na koii pata na koii khabar
bhala kya milla humien ishq sey too bhe dar-badar mein bhe dar-badar

wo khizaan key aaney sey paish-tar jhaan baat kartey they baith kar
usii amar-bail ki chaaoun mein koii raah takta hai raat bhar

abhe din charha hai zara zara aey sawaad e shab abhe thehar jaa
abhe kehna chaha tha haal e dil too bhe chal diya mujhey choar kar

na hee dil main hain teri chahtien na shikaayatien na adaavatien
to kya yeh aankhien chalak parrien kabhe ho gya jo tera ziker

khaan dhoondtey ho mera pata main wo phool hon jo bikhar chuka
millien ujrrey ujrrey sey baam o dar to yeh sochna key hai mera ghar

tujhe kho key aankhien bahaiyen khoon tujhey pa key bhe na milley sakoon
meri chahatien bhe ajub rahien merey silsiley bhe ajeeb tar

main kahoun kissi sey to kya khoun hua mujh pey taari ajab fasoun
key sakoot e shab meri zindgii key gham o alam merey humsaffar

jhaan tum they mujh sey khaffa hoye jhaan apney rastey juda hoye
main miloun ga tum ko wohien kahien ussi raah mein ussi moar par

tujhe kya khoun merey hum-nava k bura hua ya bhala hua
kabhe zindgii jo milli mujhey to rahii na baaqii merii umar

Baqi hai abhi ishq main kuch kar-e-ziaan aur kuch der idher chashm-e-tghaful meri jaan aur..

Baqi hai abhi ishq main kuch kar-e-ziaan aur
kuch der idher chashm-e-tghaful meri jaan aur..

har shai ki haqiqat bhi haqiqat main hai parda
hota to hai kuch aur guzarta hai gumaan aur..
Honai se terei itna hua hai ke hui hai
ik chashm-e-tahayyur meri janib nigran aur..

is ishq main woh khu-e-aziyyat hai ke dil se
har taza sitm pe yeh sada aai ke, haan aur !!

kuch der abhi aur yhei ronaq-e-mehfil
kuch der hadis-e-lab-e-shirin-sukhn'an aur..

ab merey siwa koi nhin hai mera mehram
ab dil ke siwa koi nhin jai'amaan aur..

koi bhi nhin hijr main ab sar-ba-gareban
ab shehr ke gham aur hain, adab-e-fughan aur..

dastar gyi sar se magar sar hai salamat
kuch perwi-e-maslak-e-ashafta saraan aur

woh bojh latafat ka uthana hee kathin tha
ab ruh pe hasti ka hai ik bar-e-giran aur..

be-perahani main to woh jo kuch hai, wohi hai
jab husn ho pardai main to hota hai ayaan aur..

dunia ko samjh kr bhi hun khamosh ke akhir
kuch din abhi rehna hai mujhai bhi to yahan aur..

irfan tera tarz-e-sukhan khub hai lekin
kehtay hai ke ghalib ka hai andaz-e-bayan aur..

ye kyaa sitam hai ke ehsaas-e-dard bhii kam hai shab-e-firaaq sitaaroN meN roshnii kam hai...

ye kyaa sitam hai ke ehsaas-e-dard bhii kam hai
shab-e-firaaq sitaaroN meN roshnii kam hai

ye kaisii mauj-e-karam thii nigaah-e-saaqii meN
ke us ke baad se tuufaan-e-tishnagii kam hai

qariib-o-duur se aatii hai aap kii aavaaz
kabhii bahut hai Gham-e-justujuu, kabhii kam hai

shauur-e-ishq ab aayaa hai apnii manzil par
huzuur-e-husn tamannaa-e-beKhudii kam hai

tamaam umr teraa intizaar kar leNge
magar ye ranj rahegaa ke zindagii kam hai

uruuj-e-maah ko insaaN samajh gayaa lekin
hunuuz azmat-e-insaaN se aagahii kam hai

na the bahaar-e-chaman ham magar ye sunte haiN
hamaare baad guloN meN shaguftagii kam hai

na saath deNgii ye dam toRtii hu’ii sham’meN
naye chiraaGh jalaao ke roshnii kam hai

karta use beqarar kuch der hota agar ikhtiyar kuch der..

karta use beqarar kuch der
hota agar ikhtiyar kuch der

kya royein fareb-e-aasmaan ko
apna nahin aitbaar kuch der

aankhoN mein kati pahaar si raat
so ja dil-e-beqaraar kuch der

ai shehar-e-tarab ko jaane waloN
karna mira intizaar kuch der

bekaifi-e-roz-o-shab musalsal
sarmasti-e-intizaar kuch der

takleef-e-gham-e-firaaq dayem
taqreeb-e-wisaal-e-yaar kuch der

ye guncha-o-gul hain sab musafir
hai kaafila-e-bahaar kuch der

dunyaa to sada rahegi Nasir
ham log hain yaadgaar kuch der

Nasir Kazmi

Us ko bhi bachana hai khud ko bhi bachana hai aik simt hai zaat apni aik simt zamana hai...

Us ko bhi bachana hai khud ko bhi bachana hai
aik simt hai zaat apni aik simt zamana hai
hum se na koi uljhe hum log hain deewane
andhi se hamen zid hai aik deep jalana hai
hum dono ko banta hai darya ke kinaron ne
is simt bhi rehna hai us simt bhi jana hai
ye ishq to fitrat hai kese ho juda mujh se
ye rog hai matti ka aur sadiyon purana hai
basti hi chupa li phir us shakhs ne hathon mein
itna jo kaha main ne aik shahar basana hai
aik ankh hai sehra to aik ankh samandar hai
kya janye is dil mein kis kis ko samana hai
kehne ko bohat kuch hai, ai saad magar hum ne
aik wada nibhana hai aik dard chupna hai

Subh taa shaam sochtaa huuN maiN sau tere naam sochtaa huuN maiN..

Subh taa shaam sochtaa huuN maiN
sau tere naam sochtaa huuN maiN

ye jo ek taazah aag bhaRkii hai
is kaa anjaam sochtaa huuN maiN

saamne hai qalam bhii kaaGhaz bhii
aur paiGhaam sochtaa huuN maiN

tujh se is dil kaa jo ta’alluq hai
us kaa kuch naam sochtaa huuN maiN

aik shaam-e-firaaq Dhal bhii gayii
phir bhii har shaam sochtaa huuN maiN

kyaa sabab hai Gham-e-zamaana kaa!
laa zaraa jaam sochtaa huuN maiN

ab ko’ii fikr hii nahiiN “Baqi”
bas teraa naam sochtaa huuN maiN

Baqi Ahmadpuri

kyuN mahkeN gulaab aaNkhoN meN ham ne rakhe haiN Khvaab aaNkhoN meN...

kyuN mahkeN gulaab aaNkhoN meN
ham ne rakhe haiN Khvaab aaNkhoN meN

dekho ham ek savaal karte haiN
likh kar rakhnaa javaab aaNkhoN meN

us meN Khatraa hai Duub jaane kaa
jhaaNkiye mat janaab aaNkhoN meN

kabhii aaNkheN kitaab meN gum haiN
kabhii gum hai kitaab aaNkhoN meN

ko’ii rahtaa thaa raat din “Alvi”
inhii Khaanaa-Kharaab aaNkhoN meN

Khud ko paRhtaa huuN, chhoR detaa huuN ek varq roz moR detaa huuN...

Khud ko paRhtaa huuN, chhoR detaa huuN
ek varq roz moR detaa huuN

is qadar zaKhm haiN nigaahon meN
roz ek aaiinaa toR detaa huuN

maiN pujaarii baraste phuuloN ka
chuu ke shaaKhoN ko chhoR detaa huuN

kaasa-e-shab meN Khuun suuraj kaa
qatraa qatraa nichoR detaa huuN

kaaNpte hoNT bhiigtii palkeN
baat adhuurii hii chhoR detaa huuN

ret ke ghar banaa banaa ke “Faraz”
jaane kyuuN Khud hii toR detaa huuN

Sochtaa huuN ke mahfuuz kar luuN ise apne siine meN lafz-o-bayaaN kii tarah..

Sochtaa huuN ke mahfuuz kar luuN ise apne siine meN lafz-o-bayaaN kii tarah
thoRii hii der meN yeh mulaaqaat bhii Khatm ho jaayegi daastaaN kii tarah

yeh rafaaqat bahut muKhtasar hai mirii hamsafar laa mire haath meiN haath de
tuu havaa-e-sar-e-rahguzar kii tarah, maiN kisii nakhat-e-raayegaaN kii tarah

haal zaalim shikaarii kii suurat mujhe, vaqt kii ziin se baandh kar le chalaa
mera maazii mire saath chaltaa rahaa duur tak ek majbuur maaN kii tarah

sang-e-aazaar kii baarisheN tez thiiN, aur bachne ka koii tariiqaa na thaa
raftaa raftaa sabhii ne saroN par ko’ii be-hisii taan lii saayebaaN kii tarah

KhvahishoN ke samandar se ek mauj uThhi, aur sail-e-balaa-Khez bantii gayii
jism kashtii kii maanind ulaTne lage, pairahan uR gaye baadbaaN kii tarah

Sabhi ashk aankhon min aa gaye, na chupa sake na bata sake. Wo jo bhed tha wo khul gaya, koi bat bhi na chupa sake...

Sabhi ashk aankhon min aa gaye, na chupa sake na bata sake.
Wo jo bhed tha wo khul gaya, koi bat bhi na chupa sake.

Na wafa rahi, na jafa rahi, na wo dil raha, na hum rahe.
Us ki yad ka jo charag tha, na jala sake na bujha sake.

Koi zor khud pe raha nhi, koi bas bhi us pe chala nhi.
Use dekhte rahe door tak, magr hath tak na hila sake.

Nhi is min us ki khata koi, na naseeb ka koi dosh tha.
Ye humara apna mizaj tha k kisi trah na nibha sake.

Min kisi or ki hon itna bta kar royi. Wo mujhe mehndi lage hath dikha kar royi...

Min kisi or ki hon itna bta kar royi.
Wo mujhe mehndi lage hath dikha kar royi.

Umar bhar ki judai ka khayal aya tha shayad.
Wo mujhe pas apne der tak bitha kar royi.

Khat, kitaben, wo piyar k tohfe.
Muhbat ki sab nishaniyan jala kar royi.

Tumhari di hoi sab chizen utar li gayin.
Wo mujhe sej pe saje zewar dikha kar royi.

Ab k na sahi, zarur hashr min milen ge.
Yakja hone k dilase dila kar royi.

Pani ki lehron pe harf-e-bayan likhna chor do. Sahil pe rait k kache makan bnana chor do...

Pani ki lehron pe harf-e-bayan likhna chor do.
Sahil pe rait k kache makan bnana chor do.

Chaho to be-sabab chaho humen warna.
Meri mano to chahat k asbab bnana chor do.

Zamana nam he mushkilon or nafraton ka.
Mere liye zamana ya mujhe zamane k liye chor do.

Hosla to bht deti he, mohbat bhi, nafrat bhi WASI.
Mujhe pani ki koshish to karo, chahe hasil kar k chor do.

Kahin se tera sath le aon. Wasal ki chand rat le aon. Beth jaon kisi dorahe par. Mang kar tera hath le aon...

Kahin se tera sath le aon.
Wasal ki chand rat le aon.

Beth jaon kisi dorahe par.
Mang kar tera hath le aon.

Kitni sadyon k bad bolon min.
Lab pe aik teri hi bat le aon.

Apni ankhon ki band galyon se.
Ansuon ki baraat le aon.

Itni puja karon k min ik din.
Apni zat min teri zat le aon.

Diyar-e-gher min kese tujhe sada dete. Tu mil bhi jata to tujhe ganwa dete...

Diyar-e-gher min kese tujhe sada dete.
Tu mil bhi jata to tujhe ganwa dete.

Tumhin ne hum ko sunaya na apna dukh warna.
Dua wo karte k hum asman hila dete.

Wo tera gham tha k taseer mere lehje ki.
K jis ko hal sunate use rula dete.

Tumhen bhulana hi awwal to dastras min nhi.
Jo ikhtiyar bhi hota to kia bhula dete.

Tumhari yad ne koi jawab hi na diya.
Mere khayal k aansoo rahe sada dete.

Itna to mere haal par ehsan kiya kar. Ankhon se mera dard pehchan liya kar...

Itna to mere haal par ehsan kiya kar.
Ankhon se mera dard pehchan liya kar.

Kuch sath de safar min bht thak gaya hon min.
Kuch pal hon tere sath meri maan liya kar.

Afsane mohabat k adhure na chor tu.
Jurm-e-wafa ka mujh se har bayan liya kar.

Muddat hoi is aas par thehra hoa hon min.
Bhule se kabhi tu bhi mera nam liya kar.

Kar apni zat se wabasta tu mujhe.
Ho kar khafa mujh se na meri jan liya kar.

Teri ik khushi par min nazar zindagi kar don. Doob kar andheron min tujh pe roshni kar don...

Teri ik khushi par min nazar zindagi kar don.
Doob kar andheron min tujh pe roshni kar don.

Kuch nhi siwa gham k is dreeda daman min.
Dard itna he dil min ye jahan dukhi kar don.

Aa k bas kabhi man min, khoon-e-dil ki gardish min.
Bhar k tujh ko sanson min band har gali kar don.

Asman sikhaye kya banda parwari mujh ko.
Tere ik ishare par sab se dushmani kar lon.

Meri chahat tha wo meri ana bhi tha. Mere khamosh lehjon ki wo ik sada bhi tha.

Meri chahat tha wo meri ana bhi tha.
Mere khamosh lehjon ki wo ik sada bhi tha.

Rehta tha subh-o-sham wo mere wajud min.
Meri awaz, mera lehja, wo meri ada bhi tha.

Deta tha mujh ko zakham wo be-hisab magr.
Hamdard bhi tha mera, wo meri wafa bhi tha.

Ab us k zikar par aksar min khamosh rehta hon.
Kabhi meri muhabbat ki wo intaha bhi tha.

Ajab kash-ma-kash thi meri zindagi.
Poojna use bhi tha aur dil min Khuda bhi tha.

Chup jati hen aaina dikha kar teri yaden. Sone nhi deti shab bhar teri yaden...

Chup jati hen aaina dikha kar teri yaden.
Sone nhi deti shab bhar teri yaden.

Tu jese mere pas he or maho sukhan he.
Mehfil si jama deti hen aksar teri yaden.

Min kiyon na phiron tapti dhoop min harasa.
Phirti hen tasawur min khule sar teri yaden.

Jab tez hawa chalti he basti min sar-e-sham.
Atraf se barsati hen pathar teri yaden.

Gali min dard k purze talash karti thi. Mere khatoot k tukrre talash karti thi...

Gali min dard k purze talash karti thi.
Mere khatoot k tukrre talash karti thi.

Bhulaye kon aziyat pasandiyan us ki.
Khushi k dher min sadme talash karti thi.

Ajab hijar parasti thi us ki fitrat min.
Shajar k toot’te patte talash karti thi.

Qayam karti thi wo mujh min soofiyon ki trah.
Udas rooh k goshe talash karti thi.

Tamam rat wo parde hata k chaand k sath.
Jo kho gaye the wo lamhe talash karti thi.

Kuch is liye bhi mere ghar se us ko thi wehshat.
Yahan bhi apne hi piyare talash karti thi.

Ghuma phira k judai ki bat karti thi.
Hamesha hijar k harbe talash karti thi.

Tamam rat wo zakhma k apni pooron ko.
Mere wajood k raz talash karti thi.

Duaen karti thi ujre hoe mazaron par.
Bare ajeeb sahare talash karti thi.

Mujhe to aj bataya he badlon ne WASI.
Wo laut aane k raaste talash karti thi.

Din nikle to soch alag, sham dhale wajdan alag. Umeed alag, aas alag, sukoon alag, tufan alag...

Din nikle to soch alag, sham dhale wajdan alag.
Umeed alag, aas alag, sukoon alag, tufan alag.

Tashbeeh don to kis se? k tere husn ka har rang alag.
Neel alag, zamrad alag, yaqoot alag, marjaan alag.

Teri ulfat k taqaze bhi, ajab andaz k the.
Iqrar alag, takrar alag, tazeem alag, farman alag.

Agar sath nhi de sakte, to bant do yakjan lamhe.
Masroor alag, nidhal alag, purkaif alag, pareshan alag.

Waqt-e-rukhsat jab, alwida ka lafz kehne laga.
Ansu alag, muskan alag, betab alag, haijan alag.

Jab chor gya tab, dekha apni ankhon ka rang.
Hairan alag, pasheman alag.

Zakham muskurate hen ab bhi teri aahat par. Dard bhool jate hen ab bhi teri aahat par...

Zakham muskurate hen ab bhi teri aahat par.
Dard bhool jate hen ab bhi teri aahat par.

Shabnami sitaron par phool khilne lagte hen.
Chaand muskurate hen ab bhi teri aahat par.

Umar kat di lakin bachpana nhi jata.
Hum diye jalate hen ab bhi teri aahat par.

Teri yad aye to neend jati rehti he.
Hum khushi manate hen ab bhi teri aahat par.

Ab bhi teri aahat par chaand muskurata he.
Khwab gungunate hen ab bhi teri aahat par.

Tere hijar min hum par ik azab taari he.
Chonk chonk jate hen ab bhi teri aahat par.

Ab bhi teri aahat par aas lout aati he.
Ashk hum bahate hen ab bhi teri aahat par.

Ajab hen raste mere k chalna bhi nhi mumkin. Zara thokar jo lag jae sambhalna bhi nhi mumkin...

Ajab hen raste mere k chalna bhi nhi mumkin.
Zara thokar jo lag jae sambhalna bhi nhi mumkin.

Tera chehra meri nazron min dhundla san a ho jae.
K ab bheegi hoi ankhon ko malna bhi nhi mumkin.

Mile hen bad muddat k bala k sard hen lehje.
K jalna bhi nhi mumkin, pighalna bhi nhi mumkin.

Talluq toot jane se umiden toot jati hen.
Dilon min hasraten le kar behalna bhi nhi mumkin.

Bht nakamiyan le kar hoa hon khak ka qedi.
Chalo ab aj se ghar se nikalna bhi nhi mumkin.

Use itna na socha kar teri aadat na par jae.
Phir aisi adaten badalna bhi nhi mumkin.

Bht toote hoe hen hum, abhi dastak nhi dena. Humari ankh he purnam, abhi dastak nhi dena...

Bht toote hoe hen hum, abhi dastak nhi dena.
Humari ankh he purnam, abhi dastak nhi dena.

Mere yaron abhi kuch din mere ahwal mat pucho.
Abhi dil min he us ka gham, abhi dastak nhi dena.

Shab-e-tanhai min tarapna he bht mujh ko.
Abhi he dard kuch madham, abhi dastak nhi dena.

Min mar jaon to mere sirhane na bithana us ko. Bht tasalli dena bht piyar se samjhana us ko...

Min mar jaon to mere sirhane na bithana us ko.
Bht tasalli dena bht piyar se samjhana us ko.

Ghumne ka bahana kar k door fizaon min kahin le jana us ko.
Wo bewafa he us waqt ye ehsas na dilana us ko.

Us k samne na karna baten aisi k meri yad a jae.
Meri tafrih k mashghale suna suna k hansana us ko.

Wo roye ga bht bilawaje to meri rooh tarap uthe gi yar.
Dost tum aisa karna meri mout ka hi na batana us ko.

Jab yaden meri yad kar k roya karo ge tum. Na neend aye gi na soya karo ge tum...

Jab yaden meri yad kar k roya karo ge tum.
Na neend aye gi na soya karo ge tum.

Us waqt meri yad tumhen bht sataye gi.
Jab kisi se aankhen milaya karo ge tum.

Tarpe dil or aah bhi na nikle zuban se.
Chup chap aansuon ko bahaya karo ge tum.

Jazbat min aa k jala di meri sari yaden.
Ab kis trah ji behlaya karo ge tum.

Mout to berhaq he juda kar k chore gi.
Wada karo meri qabar pe aya karo ge tum.

Wo mohabbat min ye kesi wafa de gaya. khush rahon use bhool kar ye dua de gaya...

Wo mohabbat min ye kesi wafa de gaya.
khush rahon use bhool kar ye dua de gaya.

Koi raqeeb hota to min bhool jati use.
Habib ban kar bhi wo mujhe jafa de gaya.

Chala gaya wo guzre hoe mosam ki trah.
Mujhe tanhai min jine ki baqa de gaya.

Chaand ban kar utarna tha mere aangan min.
Wo dard ki barish aur thandi hawa de gaya.

Kitna mushkil he khud ko samjhana.
Jab mout se bhi barh kar koi saza de gaya.

Khamosh palkon pe darya ruka he abhi. Tumhare intazar min aik lamha ruka he abhi...


Khamosh palkon pe darya ruka he abhi.
Tumhare intazar min aik lamha ruka he abhi.

Sadiyon ka faasla to tay kar liya hum ne.
Sirf do qadmon ka safar ruka he abhi.

Waqt k sagar pe rawan ho tum ye jan lo.
Tumhare piyar k liye aik lamha ruka he abhi.

Ajao k zindagi tamam na ho jae meri.
Bare ehtamam se mout ko tala he abhi.

Sadaen de de k be-awaz na ho jaon kahin min.
Ajao lout k aik jumla meri zuban pe ruka he abhi.

Tum jao hum se door to aik kam kar jana. Kuch pal apne humare nam kar jana...

Tum jao hum se door to aik kam kar jana.
Kuch pal apne humare nam kar jana.

Agar a jaye humen mout tere ane se pehle.
To aa kar mere janaze ka ehtaram kar jana.

Na rona is qadar k takleef ho humen.
Moat ko bhi mazaq samajh kar anjan ban jana.

Min aik din so jaon ga sada k liye.
Phir mujhe bewafa keh kar badnam kar jana.

Jo guzro meri qabar se to nazren na pherna.
Mehman hi ban k dua salam kar jana.

Dard ki har ik had se ab guzar gaya hon min. Phir kabhi na simton ga yon bikhar gaya hon min...

Dard ki har ik had se ab guzar gaya hon min.
Phir kabhi na simton ga yon bikhar gaya hon min.

Mout bas nhi aati rooh k nikalne se.
Sans mujh min baqi he phir bhi mar gaya hon min.

Zindagi min jitni bhi roshni thi, us se thi.
Mustaqil andheron min ab utar gaya hon min.

Baam-o-dar bhi us k bad ho gaye hen yon khamosh.
Aur dil ulajhta he jab bhi ghar gaya hon min.

Us ka sath jab tak tha rang rang mosam the.
Bas khizan k mosam min ab thehar gaya hon min.

Dil ne tere bare min pucha to bht roya. Wo shakhs jo pathar tha toota to bht roya...

Dil ne tere bare min pucha to bht roya.
Wo shakhs jo pathar tha toota to bht roya.

Ye dil k judai k unwan pe barson se.
Chup tha to bht chup tha, roya to bht roya.

Ik harf tasali ka, ik lafz muhabbat ka.
Khud apne liye us ne likha to bht roya.

Pehle bhi shikaston par khai thi shikast us ne.
Lekin wo tere hathon haara to bht roya.

Jo ehad nibhane ki deta tha dua, us ne.
Kal sham mujhe tanha dekha to bht roya

Gumsum si rehguzar thi, kinara nadi ka tha. Pani min chaand, chand min chehra kisi ka tha...

Gumsum si rehguzar thi, kinara nadi ka tha.
Pani min chaand, chand min chehra kisi ka tha.

Ab zindagi sanbhal k leta he tera nam.
Ye dil k jis ko shoq kabhi khudkashi ka tha.

Kuch abar bhi the banjh zameen se dare hoe.
Kuch zaiqa hawa min meri tishnagi ka tha.

Kehne ko dhoondte the sabhi apne khad-o-khaal.
Warna meri ghazal min to sab kuch usi ka tha.

Wo ehtiyat-e-jan thi k be rabti-e-khayal.
Saye pe bhi guman mujhe admi ka tha.

Mushkil kahan the tarak-e-mohabbat k marhale.
Ay dil magar sawal teri zindagi ka tha.

Wo jis ki dosti hi mataa-e-khaloos thi.
Mohsin wo shakhs bhi mera dushman kabhi ka tha.

Wo qisa-e-gham sunata raha. Mera zabt azmata raha...

Wo qisa-e-gham sunata raha.
Mera zabt azmata raha.

Aaj sar-e-bazam wo apne.
Dil k dagh dikhata raha.

Noha-e-dil-e-barbad koi.
Akhir-e-shab ko gata raha.

Kisi k hath min teer the.
Koi zakhm sehlata raha.

Wo sakun ka matlashi tha.
Aur mujhe dard bhata raha.

Us ki tanhai ka khayal.
Mujhe har pal satata raha.

Kya he hijar-o-wasal aakhir.
Waqt mujhe samjhata raha.

Bulane se wo nhi bhula.
Reh reh kar yad aata raha.

Raqabat ki intiha dekho.
Suraj diya bujhata raha.

Khak hoi min jal jal kar.
Zamana rakh urata raha.

Us ki aankh ka pani .
Mujhe shab bhar rulata raha.

Wo jise smajhte the zindagi meri dharkanon ka fareb tha. Mujhe muskurana sikha k wo meri rooh tak ko rula gaya...

Wo jise smajhte the zindagi meri dharkanon ka fareb tha.
Mujhe muskurana sikha k wo meri rooh tak ko rula gaya.

Wo k jis ko pane ki chah min min kabhi khilta ghulab tha.
Meri pati pati bikhar gayi mujhe aisi thokar laga gaya.

Ajab shakhs tha wo ay zindagi jise smajh k bhi na smajh sake.
Mujhe chahta bhi gazab ka tha mujhe chor kar bhi chala gaya.

Hum to saya tera ban jaen, agr tu chahe. Ya kabhi bhi na nazar ayen, agr tu chahe...

Hum to saya tera ban jaen, agr tu chahe.
Ya kabhi bhi na nazar ayen, agr tu chahe.

Tu jo chahe to sar-e-aam Karen ehd-e-wafa.
Yon hi dunya se guzar jaen, agr tu chahe.

Mujh se milne min to janaan teri ruswai he.
Hum teri yad se mil ayen, agr tu chahe.

Tu jo keh de to pukaren sar-e-bazar tujhe.
Ajnabi ban k guzar jaen, agr tu chahe.

Zindagi Karen tujhe agr teri ijazat mil jae.
Teri chokhat pe hi mar jaen, agr tu chahe.

Haqiqat jan kar asi himaqat kon krta he. Bhala be-faiz logon se muhabat kon krta he...

Haqiqat jan kar asi himaqat kon krta he.
Bhala be-faiz logon se muhabat kon krta he.

Btao jis tijarat min khasara hi khasara ho.
Bina soche khasare ki tijarat kon krta he.

humen hi galat fehmi thi kisi k waste warna.
Zamane k riwajon se baghawat kon krta he.

Khuda ne sabr karne ki mujhe toufiq bakhshi he.
Aray ji bhar k tarpao! shikayat kon krta he.

Zamane ki hen nazron se dilon k bhed poshida.
Khulus-e-dil se rab jane muhbat kon krta he.

Raqs min jugnu, duaon ka safar. Neem shab ki khamoshi or chasham-e-tar.

Raqs min jugnu, duaon ka safar.
Neem shab ki khamoshi or chasham-e-tar.

Phir teri yadon ki qandilen jalin.
Jagmaga utha mera phir khwab ghar.

Har taraf hen barzakhon k munh khule.
Zindagi he ya koi andhi qabar.

Din dhale ye kanpti chiryon ka shor.
Kat gira hoga koi burha shajar.

Min bhatakti rooh hon or char soo.
Rat, tanhai, hawa, anjan nagar.

Kiya hoa jo dukh zamane ne diye.
Jan-e-janaan hum tere hen, gham na kar.

Teri sanson min gulabon ki mehak lagti he. Husn jis rang min ho teri jhalak lagti he...

Teri sanson min gulabon ki mehak lagti he.
Husn jis rang min ho teri jhalak lagti he.

Sham hote hi nigahon min utar ate ho.
Dil ki dharkan tere peron ki dhamak lagti he.

Jese guzra ho abhi tu mere darwaze se.
Ab hawa bhi teri payal ki khanak lagti he.

Kisi barish k baraste hi jo ghir ati he.
Teri ankhon min wo rangon ki dhanak lagti he.

Jane kiyon wo meri ankhon ko bhala lagta he.
Jis k chehre pe zara teri jhalak lagti he.

Us ki ankhon min muhabat ka sitara hoga. Aik din aye ga wo shakhs hamara hoga...

Us ki ankhon min muhabat ka sitara hoga.
Aik din aye ga wo shakhs hamara hoga.

Jis k hone se meri sans chala karti he.
Kist rah us k bagher apna guzara hoga.

Ye achanak jo ujala sa hoa jata he.
Dil ne chupky se tera nam pukara hoga.

Ye jo pani min chala aya sunehri sa gharur.
Us ne darya min kahin paon utara hoga.

Kon rota he yhan rat k sannaton min.
Mere jesa hi koi hijar ka mara hoga.

Kisi ko mil jae wafa, nasibon ki bat he.. Koi rota rahe sada, nasibon ki bat he...

Kisi ko mil jae wafa, nasibon ki bat he.
Koi rota rahe sada, nasibon ki bat he.

Kisi ko chahna khud se barh kar.
Na ban sake wo apna, nasibon ki bat he.

Koi kisi ki yad min roya kare bht.
Koi kare na parwah, nasibon ki bat he.

Apni jaan bhi waar deta he kisi par koi.
Phir bhi rahe koi khafa, nasibon ki bat he.

Kisi ko mil jaen khushyan hazar.
Koi dhundta rahe muskan, nasibon ki bat he.

Koi mil jae kisi ko bin mange.
Koi umar bhar karta rahe talash, nasibon ki bat he.

Is kari dhoop min jalte hoe paon ki trah. Tu kisi or k aangan min he chhaon ki trah...

Is kari dhoop min jalte hoe paon ki trah.
Tu kisi or k aangan min he chhaon ki trah.

Tu to waqif he mere jazbon ki sachai se.
Phir kiyon khamosh he pathar k khudaon ki trah.

Min to khushbu ki trah sath rha hon tere.
Tu hi bhatakta rha be-chain hawaon ki trah.

Wo jo barbad hoe wohi badnam hoe.
Tum to masoom rahe apni adaon ki trah.

Gham to he k humen koi khushi raas na ayi.
Zindagi kaat rahe hen hum sazaon ki trah.

Mil kar juda hoe to na soya Karen ge hum, Ik dusre ki yad min roya Karen ge hum.

Mil kar juda hoe to na soya Karen ge hum.
Ik dusre ki yad min roya Karen ge hum.

Ansu chhalak chhalak k sateen ge rat bhar.
Moti palak palak min piroya Karen ge hum.

Jab duryon ki aag dil ko jalae gi.
Jimson ko chandni min bhigoya Karen ge hum.

Ban kar har aik bazm ka mozoo e guftagu !
Sheron min tere gham ko simoya Karen ge hum.

Majburyon k zehar se kar len ge khud kashi.
Ye buzdili ka jurm bhi goya Karen ge hum.

Dil jal raha he zard shajar dekh dekh kar.
Ab chahaton k beej na boya Karen ge hum.

Agar de gaya dagha hamen tufaan bhi QATEEL.
Sahil pe kashtiyon ko diboya Karen ge hum.

Baten teri alham hen, jadu teri awaz, Rag rag min utarti hoi, khushbu teri awaz....

Baten teri alham hen, jadu teri awaz.
Rag rag min utarti hoi, khushbu teri awaz.

Behte chale jate hen tah-e-aab sitare.
Jese kahin utri ho lab-e-joo teri awaz.

Min sham-e-ghariban ki udasi ka musafir.
Sehraon min jese koi jugnu teri awaz.

Lafzon min chupaye hoe be-rabt dilase.
Chunti rahi shab bhar mere ansu teri awaz.

Ye hijar ki shab bheeg chali he k mere bad.
Roti he kahin khol k gesu teri awaz.

MOHSIN k khyalon min utarti he sar-e-sham.
Rim jhim ki trah bandh k ghunghru teri awaz.

kamal-e-zabt ko khud bhi to azamaon gi, Min apne hath se us ki dulhan sajaon gi....

kamal-e-zabt ko khud bhi to azamaon gi.
Min apne hath se us ki dulhan sajaon gi.

Supurd kar k use chandni k hathon.
Min apne ghar k andheron ko laut aon gi.

Badan k karb ko wo bhi samajh na pae ga.
Min dil min roon gi ankhon min muskuraon gi.

Wo kya gaya k rafaqat k sare lutf gaye.
Min kis se rooth sakon gi kise manaon gi.

Wo ik rishta-e-benam bhi nhi lekin.
Min ab bhi us k isharon pe sar jhukaon gi.

Bichha diya tha gulabon k sath apna wajud.
Wo so k uthe to Khwabon ki rakh uthaon gi.

Ab us ka fan to kisi or se mansub hoa.
Min kis ki nazm akele min gungunaon gi.

Jawaz Dhoond raha tha nayi muhabt ka.
Wo keh raha tha k min us ko bhul jaon gi.

Usay apnay farda ki fikar thi wo jo mera waqif-e-hal tha, Wo jo us ka waqt-e-urooj tha wohe mera waqt-e-zawal tha...

Usay apnay farda ki fikar thi wo jo mera waqif-e-hal tha
Wo jo us ka waqt-e-urooj tha wohe mera waqt-e-zawal tha

Mera hal kaisay wo janta meri bat kaisay wo manta
Wo to khud fana kay safar par tha usay rokna mahal tha

Kaha jao gay mujhay choor kar main yeh pooch pooch thak giya
Wo muja ko jawab na day ska wo to khud sarapa-e-swal tha

Wo sadio bad bhi mila to meray lab pay koi gila na tha
Usay meri chup nay rula diya jisay guftugo main kamal tha

Dame-wapsi yeh kiya huwa na wo roshni na wo tazgi
Wo sitara kaisay bikhar giya wo jo ap apni misal tha

Wo mujh say mil kay ro diya faqt itna wo keh ska
Jisay kehta tha main zindgi wo to faqt mera khayal tha

Jab shaam dhale wo aayi thi...


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

Sharmayi si ghabrayi si
Jab shaam dhale wo aayi thi

Haatho mein pallu ka kona
Raste bhar ghumati aayi thi

Maine puchha jo adab se
Theek to ho
Boli... wo.. woo...
Wo mai mandir ke bahaane aayi thi

Uske marmari haatho ko
Maine chhu ke dekha
Jaise barf se dho kar aayi thi

Muh fer ke khadi ho gayi
Jaise wo meri nahi paraayi thi

Jee me to aaya
Aagosh mein bhar ke
Uske kaano mein kah du
Mere dil mein tumhi samayi thi

Khayaal kiya duniya ka
Ghoonth piya sabr ka
Aur socha bigad na jaaye
Baat meri jo bani banayi thi

Maine has ke bola
ek pal... jara idhar bhi dekho
Shayad tum mujhse milne aayi thi

Pahli... doosri... teesri...
Kuch mulaqaatein aise hi guzri
Dheere Dheere aise ghul gaye jaise
Mai phool aur uski khushbu mujhme samayi thi

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

Kaafee naheen hai sirf raat, pyaar ke liye! Har lamaha haqeeqee hai wasl-e-yaar ke liye!!

Kaafee naheen hai sirf raat, pyaar ke liye!
Har lamaha haqeeqee hai wasl-e-yaar ke liye!!

Mousam ko badalnaa hai, badaltaa hai roz-roz;
Ham kyoun rukeyngey yom-e-intizaar key liye?

Har simt, nigaahon mein hai qaraar hee qaraar;
Kuchh bhee naheen hai ahl-e-beyqaraar key liye!

Shaadaab sabzhkheyz zamin kah rahee hai roz:
Tashreef laayiye idhar, qaraar key liye!

Ham hain tabeeb aik-doosarey key khud; naheen
Laachaar kisee aur gamgusaar key liye!

Katm-e-adam sey aaj talak, ba'ad mein us paar;
Hamkhwaab ham baney hain baar-baar key liye!

Beychainiyaan chhuyengeen hamain kyoun bhalaa, 'abd',
Unkaa maqaam tay hai darkinaar key liye!

Log daad dene me bhi tauheen samajhte hain, aur khud ko ashaar ke shaukeen samajhte hain...

Log daad dene me bhi tauheen samajhte hain
aur khud ko ashaar ke shaukeen samajhte hain

jiski kitaab se zindagi me apni mithaas bhari
usi katib ko wo nadaa namkeen samajhte hain

ujaala faqat raat beetne se hi nahi chala aata
aata hai jab sahar ko mukhatisimeen samajhte hain

riwaj-e-adaaygi-e-akhlaaq riwaaj-e-dunia nahi
hum to dosti ki nazar ko hi taskeen samajhte hain

na samjho ki tanz kas rahe hain hum aappar
aji aapke tasavvur ko to haseen samajhte hain

phool ki kaanten nahi mehek hoti hai pehchaan
aksar seedhi si baat kyun maheen samajhte hain

jo jitna duniadaari se alag rahta hai use hi 'Kaash'
log dunia me utna mutmayeen samajhte hain

HASRAT KE JHAROKHON SE US PAAR JO DEKHOON MAIN...

HASRAT KE JHAROKHON SE US PAAR JO DEKHOON MAIN


hasrat ke jharokhoN se us paar jo dekhooN maiN
badli meiN chhupe apne dildaar ko dekhooN maiN

bas yehi tamanna hai baahoN meiN teri aakar
avaargi chhoRooN griftaar ho dekhooN maiN

sunte haiN milti hai har cheez bazaaroN meiN
hai kidhar dukaaN teri bazaar ho dekhooN maiN

toone to zamaane har phool kuchal Daala
saNg kaise chalooN teri raftaar ko dekhooN maiN

palkoN ne chhupaai ashk aaheN rahiN dil meiN
mahfil meiN liye khaNjar yaar ko dekhooN maiN

aai Shaah.e. jahaaN teri haalat ko samajhta hooN
Mumtaaz soi apni us paar jo dekhooN maiN

auroN ki trahaa dauRaa kayaa khoyaa kayaa payaa
manzil ke saaye meiN bezaar ho dekhooN maiN

'ASHK' kahe Khuda ye Waqt nahiN ruktaa
chaahooN to badalna ise lachaar ho dekhooN maiN

Sunday, December 25, 2011

Mana k terey dill mai koi aur makee'n hai, tu bhi tau meri jaan hai aur mera yaqee'n hai...


Mana k terey dill mai koi aur makee'n hai,
tu bhi tau meri jaan hai aur mera yaqee'n hai


mai jabr k sajdo'n mai giroo'n toot na jaao'n
patthar k Khudao.. meri shishey ki jabee'n hai


aainey tujhey teri khabar de na saken'gey
aa dekh meri aankh mai tu kitna hasee'n hai


deewar mai chunwa k mujhey jurm e wafa par
ai merey shehnshah tu paresha'n to nahee'n hai


palko'n se tha tarasha, jisey hamm ne wo heera
matt puchh k wo kiski angoothi ka nagee'n hai

Cherey perta, ankhen likhta rehta hon...

Cherey perta, ankhen likhta rehta hon
main bhi kaise batain likhta rehta hon

sare jism darakhton jaise lagte hain
or bahoon ko shakhen likhta rehta hon

tujh ko khat likhne k taiwar bhol gia
aarhi tirchi satrain likhta rehta hon

tere hijr me or mujhe kia kerna hai
tere naam kitaben likhta rehta hon

tujh se mill ker sare dukh dohraon ga
hijr ki sari baten likhta rehta hon

sokhe phol, kitaben, zakham judai k
teri sab soghaten likhta rehta hon

us ki bheegi palken hansti rehti hain
MOHSIN jb tuk ghazlain likhta rehta hon

Usy Bana Kr Ghazal Mein Subh-o-Sham Likhta Raha...

Usy Bana Kr Ghazal Mein
Subh-o-Sham Likhta Raha
Haqeeqat Ki Her Gari Mein
Usy SALAM Likhta Raha
Wo Meri MUHABAT Ko Mera
Junoon Samj Betha
Main NAAM-e-MUHABAT Ko
Bar BAr Likhta Raha
Kar Lo IQRAR-e-DIL Lagi
Muj Se Yay Kaha, Us Se
Main Ny
Ajab Shakhs Tha Muje He
BEWAFA Likhta Raha
Uski ARZU Yay Thi K
“BHUL JAO MUJE”
Main Her DIWAAR par
ISHQ Ki Intaha Likhta Raha
ZULM Sehan Hi Tu ISHQ Ki
MIRAAJ Hy
Wo Badnaam Krta Raha Main
NADAAN Likhta Raha.

Dard-e-Dill Ki Kahaani bhi woh Khub Likhta hai Kahin Par Bewafa to Kahin mujhe Mehboob Likhta hai...

Dard-e-Dill Ki Kahaani bhi woh Khub Likhta hai
Kahin Par Bewafa to Kahin mujhe Mehboob Likhta hai


Kuchh to Rasm-e-Wafa Nibha Raha hai Woh
Har ek Saf-e-Kahaani me Woh Mujhe Mazmoon Likhta hai


Lafzoon ki Justazu Mere sang beete Lamho se leta hai
Siyaahi Mere Ashq ko Banakar woh Har Lamha Likhta hai

Kashish Kyoun Naa ho Uski Daastaan-e-Dard Me yaaro
jab bhi Zikr Khud Kaa aata hai woh Khud ko Wafa likhta hai


Tahreerein Jhoot ki Sajaayi hai aaj Usne Apne Chehre Par
Khud Ko Dard Ki Mishaal aur kahin Majboor Likhta hai

Mujh se mera kya rishta hai har ek rishta bhool gaya itne aaine dekhe hain k apna chehra bhool gaya...

Mujh se mera kya rishta hai har ek rishta bhool gaya
itne aaine dekhe hain k apna chehra bhool gaya


Ab to yeh bhi yaad nahi hai farq tha kitna dono main
Us ki baatein yaad raheen aur us ka lehja bhool gaya


Pyasi dharti k hoontoon per mera naam nahi to kya`
Main woh baadal ka tukra hoon jis ko dariya bhool gaya


duniya wale kuch bhi kahein per apni to majboori hai doston
Uski gali jab yaad aayi hai ghar ka rasta bhool gaya…

Ham Neend K Shoqeen Zyada Nhi Lekin, Kuch Khuwab Na Dekhen To Guzara Nahi Hota...

Ham Neend K Shoqeen Zyada Nhi Lekin,
Ham Neend K Shoqeen Zyada Nhi Lekin,
Kuch Khuwab Na Dekhen To Guzara Nahi Hota,
Rona To Bohat Ata Hai Taqdeer Pe Lekin,
Ham Jis Ko Bhi Chahein Wo Hmara Nhi Hota.

LARKI KA JAWAB | Main aisi mohabat karti hoon Tum kaisi mohabbat karte ho...

LARKI KA JAWAB


Tum jab bhi ghar par aate ho
Aur sab se baatein karte ho
Main aut se parde ki janab
Bas tum ko dekhti rehti hoon
Ik tum ko dekhne ki khatir main kitni pagal hoti hoon
Main aisi mohabat karti hoon
Tum kaisi mohabbat karte ho


Jab darwaze par dastak ho
Ya ghanti phone ki bajti ho
Main chor k sab kuch bhagti hoon
aur tum ko jo na paoon to ji bhar k ronay lagti hoon
Main aisi mohabbat karti hoon
Tum kaisi mohabbat karte ho


Mehfil main kahein bhi jana ho
Kapron ka selection karna ho
Rang bohat se samne bikhre hoon
Uss rang pe dil aa jata hai
Jo rang k tum ko bhata hai
Main aisi mohabbat karti hoon
Tum kaisi mohabbat karte ho


Rozana apne college main
Kisi aur ka lecture sunte hoe
Ya break k khali ghante main
Sakhiyon se baatein karte hoe
Meray dhiyan main tum aa jate ho
MAin,main nahin rehti
Phir jaana main tum main gum ho jati hoon
Bas khawabon main kho jati hoon
Unn aankhon main kho jati hoon
Main aisi mohabbat karti hoon
Tum kaisi mohabbat karte ho


Jis chehre par bhi nigha pare
Har chehra tum sa lagta hai
Woh sham ho ya ke dhop samay sab kitna bhala sa lagta hai
Jane ye kaisa nasha hai garmi ka
Tapta mousam bhi jaray ka maheena lagta hai
Main aisi mohabbat karti hoon
Tum kaisi mohabbat karte ho


Tum jab bhi samne aate ho
Main tum se sunna chahti hoon
Kash kabhi tum ye keh do
Tum mujh say mohabbat karte ho
Tum mujh ko bohat hi chahte ho
Lekin jane tum kyun chup ho
Yeh soch k dil ghabrata hai
Aisa to nahin hai na jana sirf meri nazar ka dhoka ho
Tum ne mujh ko chaha hi na ho
Koi aur hi dil main rehta ho


Main tum se poochna chahti hoon
Main tum se kehna chahti hoon
Lekin kuch pooch nahin sakti mana ke mohabbat hai
Phir bhi lab apne khol nahin sakti
Main larki hoon kaise keh doon
Main kaisi mohabat karti hoon
Main tum se ye kaise pochoon
Tum kaisi mohabbat karte ho
Chup chap see main...ho jati hoon
Phir dil main apne kehti hoon


Main aisi mohabbat karti hoon
Tum kaisi mohabbat karte ho

Main aisi mohabbat karta hoon Tum kaisi mohabbat karti ho...

Main aisi mohabbat karta hoon
Tum kaisi mohabbat karti ho
Tum jahan peh beth k jati ho
Main waheen pe betha rehta hoon
Uss cheez ko choota rehta hoon
Main aisi mohabbt karta hoon


Tum jis se huns k milti ho
Main us ko dost banata hoon
Tum jis raste par chalti ho
Main us se aata jata hoon
Main aisi mohabbat karta hoon
Tum kaisi mohabbat karti ho

Tum jin ko dekhti rehti ho
woh khawab....sarhane rakhta hoon
Tum se milne julne k
Kitne hi bahane rakhta hoon
Main aisi mohabbat karta hoon
Tum kaisi mohabbat karti ho

Tum jahan bhi beth k jati ho
Jis cheez ko haath lagati ho
Main waheen peh betha rehta hoon
Uss jaga ko choota rehta hoon
Main aisi mohabbat karta hoon
Tum kaisi mohabbat karti ho



Kuch khawab saja kar aankhon main
Palkon say moti chunta hoon
Koi lums agar choo jaa a to
Main pehroon us ko sochta hoon
Main...aisi mohabbat karta hoon
Tum kaisi mohabbat karti ho

Jin logon main tum rehti ho
Tum jin se baatein karti ho
Tum jin se huns k milti ho
Jo tum ko ache lagte hoon
Wohi mujh ko ache lagte hain
Main aisi mohabbat karta hoon
Tum kaisi mohabbat karti ho


Jis bagh main subh ko jati ho
Jis sabze par tum chalti ho
Jo shaakh tumhein choo jati hai
Jo khushboo...tum ko bhaati hai
Woh oos tumhare chehre par
Jo qatra qatra girti hai
Woh tittli chor k phoolon ko
Jo tum se milne aati hai
Jo tum ko choone aati hay
Unn sab k nazuk jazbon main
Mere dil ki dharkan basti hai
Meri rooh bhi shamil rehti hai
Tum paas raho ya door raho
Nazron main samai rehti ho
Main tum ko takta rehta hoon
Main tum ko sochta rehta hoon
Main aisi mohabbat karta hoon
Tum kaisi mohabbat karti ho

Jis college main tum parhti ho
Jis class main bhi tum jati ho
Jis kursi pe tum bethti ho
Jab class woh khali hoti hai
Main ja k us main bethta hoon
Uss kursi ko main choota hoon
Gadla sa ik tissue paper
Jo tum ne class main choora tha
Main pyar se uss ko choota hoon
Main us ko...purse main rakhta hoon
Woh copy jis main lecture k tum points likhti rehti ho
Har moqay par har manzar main
Main saath tumhare rehta hoon
Main chashm-e-tasavvur main aksar
Bas tum ko dekhta rehta hoon
Bas tum ko sochta rehta hoon
Main aisi mohabbat karta hoon
Tum kaisi mohabbat karti ho

Aap Say Mil Kar Hum Kuch Badal Se Gaye BY Nusrat Fateh Ali Khan With LYRICS

Aap Say Mil Kar Hum Kuch Badal Se Gaye BY Nusrat Fateh Ali Khan With LYRICS



Aap se milke hum, kuch badal say gaye
(after having met you, I have changed somewhat)
Shair parhnay lagay, gungunay lagay
(I've started reading poetry, humming to myself)
Pehlay mashhoor thi, apni sanjeedgi
(first I was well-known for my seriousness)
Ub to jab daykhiyeah muskuranay lagay
(now everytime I'm seen smiling)
Aap se milke hum, kuch badal say gaye
Shair parhnay lagay, gungunay lagay
Hum ko logo say milnay ka kab shouq tha

(when was I ever interested in socializing)
Mehfil araii ka, kab hamay zouq tha
(in gatherings, and relish)
Aap kay wastay hum nay yeah bhi kia
(for you, I even did this)
Milnay julnay lagay, aanay janay lagay
(started mingling, started going out)
Aap se milke hum, kuch badal say gaye
Shair parhnay lagay, gungunay lagay
Hum nay jab aap ki daykhe dilchaspiyaan

(when I came to know your jolly interests)
Aagaye jab hum mein bhi tabdeliyean
(even I changed)
Ik musawwir say ho gaye dosti
(I made friends with an artist)
Aur ghazalein bhi sun’nay suna’nay lagay
(and started listening and reciting poetry)
Aap ke baray mein pooch baytha koi
(when someone asked about you)
Kia kahein hum say kia badhawasi howi
(what can I say, I become very nervous.. hobble)
Kehnay wali jo thi, baat wo na kahi
(instead of saying what I was suppose to)
Baat jo thi chupani, batanay lagay
(I revealed what I was supposed to hide)


Aap se milke hum, kuch badal say gaye
Shair parhnay lagay, gungunay lagay
Ishq bayghar karay, ishq bayghar karay
(love makes you homeless, love makes you homeless)
Ishq ka such mein koi thikana nahi
(truly there is no home for love)
Hum jo kal tak thikanay kay thay aadmi
(until yesterday, I used to have a place)
Aap se milke kaisay thikanay lagay
(after meeting you, look how I've become homeless)
Pehlay mashhoor thi, apni sanjeedgi
Ub to jab daykhiyeah muskuranay lagay
Aap se milke hum, kuch badal say gaye
Shair parhnay lagay, gungunay lagay 

Tamasha roz krtey ho wafaoon ka jafaoun ka...

Tamasha roz krtey ho wafaoon ka jafaoun ka

Zara thehro meray dil main, muhabbat seekh jao gay

Naql Karte Hain Kisi Aur Ke Mehboob Ki Hum...

Naql Karte Hain Kisi Aur Ke Mehboob Ki Hum
Koi Apna Ho Tou Hum Shair Bhi Apna Likhein

Hai Ik Soda! Agar Maano To Dono Mil K Tay Kar Lain..

Hai Ik Soda! Agar Maano To Dono Mil K Tay Kar Lain
Qarar e Zindagi Le Lo,Jawaz e Zindagi De Do...!

Band dareechay sooni galiyaan an'dekhay an'jaanay log...


Band dareechay sooni galiyaan an'dekhay an'jaanay log
Kis nagri mein aa niklay hein 'Sajid' Ham dewaanay log

Suna hai Oss ke ehd e wafa mein khuwaab bhe muft nahe miltay
Un galiyon mein har har saans pe bhartay hein jurmaanay log

Jahan jahan bersaat uterti daikhi hai Her sou teri yaad bikherti daikhi hai...

Jahan jahan bersaat uterti daikhi hai
Her sou teri yaad bikherti daikhi hai

Tum se pehlay dil sa buzdil koi na tha
Aur phir iss dil se dunya derti dekhi hai

Dil ke gehray sannatay main raaton ko
Kabhi kabhi ik hook ubherti dekhi hai

Buss ik jeenay ki khwahish thi aur wo bhi
Hum ne apni aankhon merti dekhi hai

Uljhaa rahii haii mujh ko yehi kashmakash musalsal

Uljhaa rahii haii mujh ko yehi kashmakash musallsall
Wo aa bas gya hai mujh main, Ya main us main kho gya hoon

Rehne Dia Na Us Ne Kisi Kaam Ka Mujhe...

Rehne Dia Na Us Ne Kisi Kaam Ka Mujhe
Aur Khaak Main Bhi Mujh Ko Mila Kar Nahi Gaya

Saiyan zaat adhoori hay, Saiyan baat adhoori hay. . . Saiyan raat adhoori hay, Saiyan maat adhoori hay. . . Dushman chaukanna hay laikan, Saiyan ghaat adhori hay . . .

Saiyan zaat adhoori hay,
Saiyan baat adhoori hay. . .
Saiyan raat adhoori hay,
Saiyan maat adhoori hay. . .
Dushman chaukanna hay laikan,
Saiyan ghaat adhori hay . . .

Saiyan ranj malal bohat,
Deewanay be haal bohat. . .
Qadam qadam per jaal bohat,
Pyar muhabbat kaal bohat. . .
Aur isi aalam mein saiyan,
Guzar gaye hain saal bohat . . .

Saiyan har soo dard bohat,
Mausam mausam sard bohat. . .
Rasta rasta gard bohat.,
Chehra chehra zard bohat. . .
Aur sitam dhanay ki khatar,
Taira ik ik fard bohat . . .

Saiyan tairay shehar bohat,
Gali gali mein zehar bohat. . .
Khof zada hay dehar bohat,
Us pe taira qehar bohat. . .
Kali raatein itni kyun,
Hum ko ik he pehar bohat . . .

Saiyan dil majboor bohat,
Roh bhi choor o choor bohat. . .
Paishani be noor bohat,
Aur lamhay maghroor bohat. . .
Aisay mushkil aalam mein,
Tu bhi hum se door bohat . . .

Saiyan mairay taaray gum,
Raat kay chand saharay gum . . .
Saiyan rishtay toot gaye,
Saiyan apnay chhoot gaye . . .
Apni zaat na zato mein,
Apna naam na namo mein . . .

Mere din raat mushkil mai hain,sakoon ek pal nahi mujh ko...

Mere din raat mushkil mai hain,sakoon ek pal nahi mujh ko.

Mohabbat tarss kha mujh per, Mohabbat chor jaa mujh ko..!!

Bana k chorr dete hain wo apni Zaat ka Aadi . . . Kuch log is tarha se b Intiqam lete hain...

Bana k chorr dete hain wo apni Zaat ka Aadi . . .

Kuch log is tarha se b Intiqam lete hain

Kuch apne lub o lehje ko tabdeel wo karta Phir hum se bayan ranj ki tafseel wo karta...

Kuch apne lub o lehje ko tabdeel wo karta
Phir hum se bayan ranj ki tafseel wo karta

Yak tarfa takazay to nibae nhai jate
Kuch apne faraaiz ki bhi tameel wo karta,

Ilzamm lagata wo bare sho se par,
Kch apne kiye wadoon ki takmeel wo karta,

Kuch us ko bi ehsas to hota tanhai ka,
Kuch khuwab mere khud me tabdeel wo karta..

Lafz tooty , lab-E-izhaar tak aatay aatay, Mar gaye hum tere meyaar tak aatay aatay...

Lafz tooty , lab-E-izhaar tak aatay aatay,
Mar gaye hum tere meyaar tak aatay aatay.
Hum samajhtay thay k kuch waqt lagay ga shaayed,
Ik inkaar ko iqraar tak aatay aatay.
Haath rakhna parra seenay pe hamain bhi aakhir,
Dil kahaan rehta hy dil'daar tak aatay aatay.
Aik lamhay ki musaafat bhi barri hoti hy, "TANHA"
Hum ko to umar lagi yaar tak aatay aatay.


December Tum Na Jao Na... K Jab Tak Wo Nahi Aata, December Tum Na Jao Na..

December Tum Na Jao Na..

Abhi Lamhe Nahi Bikhrey,
Abhi Mosam Nahi Bichrey,
Mere Kamrey Ki Thandak Me,
Abhi Kuch Dhoop Baqi Hai,
Meri Dairy K Kuch Safhe,
Abhi Kuch Keh Nahi Paye,

Mere Angan K Sab Podey,
Abhi B Gungunatey Hein

Mere Bejaan Hontoon Pr,
Abhi Muskaan Baqi Hai,
Kisi K Lot Any Ka Abhi
Imkaan Baqi Hai,


December..!!
Baat Ik Sun Lo!

Sonu!
Tum Maan Jao Na!

K Jab Tak Wo Nahi Aata,
December Tum Na Jao Na..

Saal kaa Aakhri Din Hai | DECEMBER

Saal kaa Aakhri Din Hai
Abhi Kuch Dhoop Hai Leikin
Zara See Dair ko Tay Hai Kay Akhir Shaam Hona Hai
Haqiqat Ya Kahani Jo Bhee Hai Anjam Hona Hai
Chaloo Mil Baith Kay Apnay Khasaray Bant Letay Hain
Sab He Rang Aur jugnoo Aur Sitaray Bant Letay Hain
Zara See Dair Ko Tay Hai key Akhir Shaam Hona Hai
Haqiqat Ya Kahani Jo Bhee Hai Anjam Hona Hai

Yeh kesa Alwidai geet gaaya december ne, jatey jatey nargissi mausam ko rulaya..

Yeh kesa Alwidai geet gaaya december ne
jatey jatey nargissi mausam ko rulaya
khain pe lalazar banya
gulab motia chambeli se
tulip ki larioon se goond ke
pyar ke rangoon se sainch ke
parioon si khawishoon ke jhoormat
main
hamare laboon pe
duaaon ke alwidi kalmaat
tum hamesh raho mere saat
marmareen hatehlioon pe naii
umeedoon ke roshan chiragh
sadioon se chand ke devi
kaat rahi hai charqha
narm narm galoon se
prem ki dhank se dhunak rahi hai
hur ane wali subha ko
Rub ne dia hai sub ko ye hi pegham
ajj jati december ki sham
insaanyat ke naam
mohabbat azaadi shanti amaan hai
sub ki jaan
nafratoon ko kar do tammam
choti se hasti hai ye
pyar se basti hai
hamesha se hai
hamesha rahingain
Main or Nelaa Asmman

December aa ker guzer jaye gaa, Ik pair kay na jaaney kitnay pattey giraa jaaey gaa...

December aa ker guzer jaye gaa
Ik pair kay na jaaney kitnay pattey giraa jaaey gaa
December aa ker guzar jaye gaa
Chiriyaa'n chehkein gee yakh-basta raato'n may
Aur pairo'n pey aa ker yeh gumsum rahein gee
Na koi hari shaakh ho gee
Na koi patta ho gaa
December aa ker guzar jaye gaa
Kitney parindey be-ghar ho jaain gey
Jalaa dey gee unn ko december ki thandi hawa
Na jaaney kitney khwaab bin taabeer dhal jaain gey
December aa ker guzar jaye gaa
Ik pair kay na jaaney kitney pattey giraa jaye gaa

Abhi hijr ka qayam hai aur December aan pahuncha hai...

Abhi hijr ka qayaam hai aur December aan pahuncha hai
Ye khabr shahar mein aam hai December aan pahuncha hai

Aangan mein utar aayi hai manoos si khushboo
Yadon ka azdahaam hai December aan pahuncha hai

Khamoshiyon ka raaj hai khizaan taak mein hai
Udasi bhi bahot aam hai December aan pahuncha hai

Tere aanay ki ummid bhi ho chuki maadoom
Naye saal ka ahtamaam hai December aan pahuncha hai

Khunak rut mein udasi bhi chaukhat pe khadi ahi
Jaday ki udaas shaam hai December aan pahuncha hai

Tum Aao tou mere mausamon ki bhi takmeel ho jaye
Nayi rut tou sar e baam hai December aan pahuncha hai

December K Hasee'n Din Thaay, Murree Ki Yukh-Basta Fizaou'n Main...

Ossay Tou Mitt He Jaana Tha...

December K Hasee'n Din Thaay
Murree Ki Yukh-Basta Fizaou'n Main
Hamaray Char Haathou'n Nay
Mujasma Ek Banaya Tha
Kaha Tha Aik Dojay Ko
Nishaani Piyaar Ki Apni
Berhi Khoobsoorat Hai
Mujhey Ab Yaad Aata Hai
Mujasma Beraf Ka Tha Wo
Ossay Akhir Pighalna Tha
Ossay Tou Mitt He Jaana Tha

DECEMBER JAB BHI AATA HAI........

DECEMBER JAB BHI AATA HAI........

DECEMBER LOAT AAYA HAI
AUR SUNG APNEY DARD-O-GHAM SAMAIT LAYA HAI
JAB HAWA MEIN KHUNKI BARH JATI HAI
JANE KYUN?
MEREY DIL KI HALAT ABTER HO JATI HAI
BAY-BAAT BARASTI HEIN AANKHAIN
AUR DIL MEIN KHALISH AA JATI HAI
JAB DARD KI TEESAIN UTHTI HEIN
MEREY DIL KO LAHO KER JATI HEIN
JANE KYUN?
TUB BICHRAY YAAD AANE LAGTEY HEIN
AUR DARD SATANEY LAGTEY HEIN
JANE KYUN AISA HOTA HAI?
JAB BHI DECEMBER AATA HAI
MUJH KO TANHA KER JATA HAI

Sard ratoon ki bhegi tanhai, Barasti boond ke choote hi sulagta sa badan,

Sard ratoon ki bhegi tanhai,
Barasti boond ke choote hi sulagta sa badan,
beti yadoon beete lamhon main sulagta hoa dil,
youn guzre saal ke sare dukh aur saree gham,
akela aik december seh leta hai

Abhi Lamhe Nahin Bikhre, Abhi Mosam Nahi Bichre...

Abhi Lamhe Nahin Bikhre
Abhi Mosam Nahi Bichre

Mere Kamry Ki Thandak Me
Abhi Kuch Dhoop Baqi Hay

Meri Diary K Kuch Safhay
Abhi Kuch Keh Nahin Paye

Mere Angan K Sab Poday
Abhi Bhi Gungunate Hain

Mere Be-Jaan Honton Per
Abhi Muskaan Waisi Hay

Kisi K Laot Aanay Ka
Abhi Imkaan Baqi Hay

December Baat Botoon Main,
Agar Tum Maan Jao

December
Tehar Jao….!!!
Tehar Jao…

Irada Tha Jii Longa Tujhse Bicher Kar… Guzrta Nhe Decemberc Akeley….!!!

Irada Tha Jii Longa Tujhse Bicher Kar…

Guzrta Nhe Decemberc Akeley….!!!

Usey Kehna K Lout Aao Suna Hy Decmber Aya Hy, Ek Bar To Aa K Mil Jao Suna Hy December Aya Hy...

Usey Kehna K Lout Aao Suna Hy Decmber Aya Hy,
Ek Bar To Aa K Mil Jao Suna Hy  December Aya Hy,

Usey Kehna K Bin Tery Bht December Guzary Hn
Is Bar To Milny Aa Jao Suna Hy December Aya Hy

Usey Kehna Judai Se Muhabat Kam Nhi Hoti
Ye Dunya Ko Batla Jao K Suna Hy December Aya Hy

Usey Kehna K Chahat Ka Bharam Na Totny Dena
Tum Pal Do Pal Hi Aa Jao Suna Hy December Aya Hy

Usey Kehna K Tanha Hy Koi December K Din Bi
Ye Tanhai Mita Jao Suna Hy December Aya Hy.

Suno December Usay Pukaro Usay Bula Do Usay Mila Do...

Suno December
Usay Pukaro
Usay Bula Do
Usay Mila Do
Ab Is Se Pehlay K Saal Guzray
Wohi Lakeerein, Wohi Sitaray
Meri Hatheli Main Qaid Kar Do
Yeh Aakhiri Shab K Aakhiri Pal
Koi Bara Ikhtatam Kar Do
Yeh Zindagi Bhi Tamam Kar Do
Suno December
Usay Puakaro
Usay Mila Do.

Be-Qrar Mosam Me Yad K Jharokon Se, Phir Tumhi Se Milne Ki, Dil Me Kitni Khwahish Hai...

Be-Qrar Mosam Me Yad K Jharokon Se,
Phir Tumhi Se Milne Ki,
Dil Me Kitni Khwahish Hai,
Aaj Kal December Ki Phir Udas Shaamen Hain,
In Ujaar Ankhon Me
Zard Zard Ratain Hain,
Is Tarah K Mosam Me
Toot Phoot Jata Hoon,
Jab B Yad Aatay Ho
Khud Ko Bhool Jata Hoon.

Humare Hal Per Roya December Woh Dekho Toot Ker Barsa December...

Humare Hal Per Roya December
Woh Dekho Toot Ker Barsa December

Guzar Jata Hai Sara Saal Yun Toh
Nahi Katta Magar Tanha December

Bhala Barish Se Kya Sarab Ho Ga?
Tumhare Wasal Ka Payasa December

Woh Kab Bichra? Nahi Aab Yaad Lekin
Bas Itna Illm Hai K Tha December

Yun Palkein Bheegati Rehti Hain Aise
Meri Aankhon Main Jaise Aa Thehra December

Jama Ponjhi Yehi Hai Umer Bhar Ki
Meri Tanhai Aur Mera December

Sabab Na Pooch Mere Aanson Ka
Hai Pehle Hijr Ka Pehla December

Main Inn Yaadon Se Bach K Jaon Kaise
K Mellon Dor Hai Phela December

Meri Aankhon Se Ger Deko Toh Jano
K Hai Barsaat Main Jalta December

Abhi Tak Kohr Main Dooba Hai Aangan
Abhi Tak Yaad Hai Pechla December

Talaash uss ki hai jis ko kabhi dekha bhi nahi, Khayal uss ka hai dil main jisay socha bhi nahi…!

Talaash uss ki hai jis ko kabhi dekha bhi nahi,
Khayal uss ka hai dil main jisay socha bhi nahi…!

Khuda say apnay liyae iltija main kya karta,
Talab hai uss ki hai jis ko kabhi maanga bhi nahi…!

Sakoot-E-Dil main ye ehsaas-e-zindagi kya hai ?
Qareeb paata hoon uss ko jisay chaha bhi nahi…!

Qasaas mujh se woh kis kay lahoo ka maangtay hain,
Woh khoon hai mere haatoo pay jo baha bhi nahi…!

Ilaaj mujh se bhi mumkin nahi mohabbat ka,
Woh zakhm hai mere seenay pay jo saha bhi nahi…!!

Aankh nam hai, honth bhi sukha hua, tod kar dil puchte hai kya hua….!

Aankh nam hai, honth bhi sukha hua,
tod kar dil puchte hai kya hua….!

Chorkar mujko khushi jaane lagi,
lo chalo kuch bojh to halka hua….!

Dil lagane ki sazaa dil ko mili,
dard shayad kuch hai pahchana hua….!

Tere pairon ke andheron ke tale,
chand jaise din me ho nilka hua….!

Mujse zidd aise gale milta hai gum,
jaise vo koi mera sayaa hua….!

Bazm ka teri ajab dastur hai,
aaye zakhme ishq jo khaya hua….!

Kis qadar chand pe badal ka dekho saya hai, Meri diwaan gi se chand bhi sharmaya hai..!

Kis qadar chand pe badal ka dekho saya hai,
Meri diwaan gi se chand bhi sharmaya hai..!

Kitnaa bechen sa chaakoor nazaar aya hai,
Chakoor dekho kesaa chand pe bharmaya hai..!

Chand ni raat he tanhai he nazaare hei,
Tere bin phike lagte mujhe kun ye sare hei..!

Ae mere pyaar meri jan meri jane wafaa,
Teri judai me sang tadhpe sab nazaare hei..!

Kis qadar chand pe badal ka dekho saya hai,
Meri diwaangi se chand bhi sharmaya hai..!

Uss Ki Nazron Ka Kamal Na Poch, Ab Jo Hua Hai Mera Haal Na Poch..!

Uss Ki Nazron Ka Kamal Na Poch,
Ab Jo Hua Hai Mera Haal Na Poch..!

Ho Gayi Uss K Samne Zuban Band Meri,
Phir Kiya kya Uss Ne Mujhse Sawal Na Poch..!

Milta Hai Mujhe Har Rozz Khuwab Main,
Use Hai Mera Kitna Khayal Na Poch..!

Us ke Sang Jo Waqt Guzra Maloom Nahi,
JUDAI Main Jo Guzra Wo Saal Na Poch..!

TAJIR To Hoon Main Mohabbat Ka Magar,
Hua Kiss Tarah Main KANGAL Na Poochh..!!

Mere Lafz Ki Lari Mein Aks-E-Jamal Us Ka Tha, Gazal Meri Thi Magar Dil Mein Khiyal Us Ka Tha..!

Mere Lafz Ki Lari Mein Aks-E-Jamal Us Ka Tha,
Gazal Meri Thi Magar Dil Mein Khiyal Us Ka Tha..!

Mein Shayer To Na Tha Magar Us Ne Mujhe Bana Diya,
Aankh Sharabi ” Hont Sagar ” Chehra Kamal Us Ka Tha..!

Mein Kese Maan Loon Usy Mujh Se Muhabbat Nahi,
Bicharty Waqat Meri Tarah Ajab Haal Us Ka Tha..!

Mujhe Apny Ujar Jany Se Nahi Tha Sarokar Koi,
Mein Afsurda Es Liye Tha Keh ” Mujhe Malal Us Ka Tha..!

Tanhaie Mein Bhi Jo Usy Mein Na Keih Saka,
Bhari Mehfil Mein Keih Geya Wo” Ye Kamal Us Ka Tha !

December Mujh Se Bola Tha Ab K Jab Main Aon Ga Tujhe Phir Se Pukaron Ga Usy Main Sath Laon Ga....

December Mujh Se Bola Tha
Ab K Jab Main Aon Ga
Tujhe Phir Se Pukaron Ga
Usy Main Sath Laon Ga
Jo Tujh Ko Bhool Betha Hai
Keh” Jis K Hijr Ka Lawa
Tera Tann Mann Jalata Hai
Keh” Jis Ki Yaad Ki Jheelon Main
Aksar Doob Jaty Ho
Keh” Jis K Wasty Baithy
Yahan Tum Geet Gaty Ho !

December Mujh Se Bola Tha
Suno Tum Bhool Na Jana
Jo Yadain Us Ne Sonpi Hain
Jo Lamhy Us Ne Bakhshy Hain
Chahy Yeh Zakhm Sary
Rooh Ka Nasoor Ban Jaein
Inhain Bharny Nahi Dena
Inhain Marny Nahi Dena
Keh” In Zakhmon Pe Marham
Aik Din Us Ne He Rakhna Hai !

December AA Geya Lekin
December Woh Nahi Aaya
Keh” Jis Ne Mujh Se Bola Tha
Usy Woh Sath Laye Ga
Mujhe Phir Se Pukary Ga !

December ! Ghor Se Sun Lo
Usy Bhi Tum Bata Dena
Yeh Sansain Machli Bethi Hain
Ab Rukhsat Pe Jany Ko
Yeh Aankhain Bhi Barasti Hain
Usy Wapis Bulany Ko
Magar Yeh Janty Hain Hum
Hamain Wo Bhool Betha Hai !

December Aaye Jo Ab Ho
To Itna Yaad Rakh Lena
December Aor He Tha Woh
Keh” Jis Ne Mujh Se Bola Tha
Mujhe Umeedain Bakhshi Thin
Mujhe Jeena Sikhaya Tha
Buhat Masoom Thy Hum To
Jo Itna Bhi Nahi Samjhy
December To December Hai
Sab He Ko Rulata Hai
Hamesha Dair Karta Hai
Sanam K Taor Rakhta Hai
Sada Akhir Mein Aata Hai !

December Us Se Keih Dena
Mujhe Jitna Bhi Tarpa Le
Keh” Tujh Se Haar Maani Hai

Ab Hum Ne Yeh He Thaani Hai
Yoon Us Se Door Jana Hai
Kabhi Wapis Na Aana Hai !

Chalo Chhoro Ab Jany Do
December Kuchh Bhi Na Kehna
Koi Shikwa Nahi Karna
Keh” Jis Se Yeh Guman Guzry
Usy Hum Yaad Karty Hain
Usi Ki Raah Takty Hain
Keh” Apni Zindgani Ka
Es Sari Kahani Ka
Yeh Manzar Akkhri Ho Ga !

DECEMBER AKHRI HO GA
DECEMBER AKHRI HO GA….. !

Ye shaam ye sard hawa or ye Hijr ka aalam, Gumaan hota hai is baar DECEMBER maar daalega…..

Ye shaam ye sard hawa or ye Hijr ka aalam,

Gumaan hota hai is baar DECEMBER maar daalega…..

Ab to barishon mein bhi us ko meri yad nahin ati Woh jo badal ke garajney se lipat jata tha mujhse..

Ab to barishon mein bhi us ko meri yad nahin ati

Woh jo badal ke garajney se lipat jata tha mujhse..

Teri yaade’n December ki shabo’n jaisi, Jo aati hain to janaa bhool jaati hain..…

Teri yaade’n December ki shabo’n jaisi,

Jo aati hain to janaa bhool jaati hain..…

khizaa k zard patton ka wo manzar yaad karta hai usay kehna usay december bohat yaad karta hai...

khizaa k zard patton ka wo manzar yaad karta hai

usay kehna usay december bohat yaad karta hai

Teri yaad or barf bari ka mosam Sulagta raha dil k andar akelay...

Teri yaad or barf bari ka mosam Sulagta raha dil k andar akelay,
Socha tha g lon ga tuj se bichar kar, Guzarta nahi ik December akelay,

December Main Kaha Tha Na K Wapis Laut Aao Ge, Abhi Tak Tum Nahi Lautay December Laut Aaya Hai…!!!

December Main Kaha Tha Na K Wapis Laut Aao Ge,

Abhi Tak Tum Nahi Lautay December Laut Aaya Hai…!!!

Yeh Saal Bhi Udaas Raha Rooth Ker Gaya, Tujhe Dekhe Baghair Jaana December Guzar Gaya…!!

Yeh Saal Bhi Udaas Raha Rooth Ker Gaya,
Tujhe Dekhe Baghair Jaana December Guzar Gaya…!!

Teri yadon ki rawani or ye december Meri batein , teri kahani or ye december...

Teri yadon ki rawani or ye december
Meri batein , teri kahani or ye december
Mera hath tera sath , lambi sarak or ye
December
Gum sum shaamain , sunehri raatain or ye
December
Bheigy din , madham suraj , halky badal or ye
December
Behti nadiya , gaatay panchi , urti dhund or ye
December
Tanha me , tanha chand , mera kamra or yeh
December
Meri ankhein , mere aansu , meri neend , tere khawab or ye
December

Beet Gaye Sare Mahine Saal Ke, Ab Phir Laut Aya Hain December...

Beet Gaye Sare Mahine Saal Ke,
Ab Phir Laut Aya Hain December,

Mere Gamo ka mausam Jata Nahi,
Ya Allah Kuch Mujh Par Karam Kar,

Jab bhi uski yaad ati hain Mujhko,
Nahi So Pata Hun Ek Karwat Par,

Ab tu Sardi bhi nahi lagti december main,
Nahi Rakhta main ek bhi Kapda Badan Par,

Allah tu Lauta de phir se wo mahine aur sardiyan,
Ya phir ye Sara Mamla hi Khatam Kar,

Ahhh, Phir Laut Aya Hain December............

December .. Ab bhi Tera muntazir Hay .! woh Lamhay.. Soch Ki Dahleez Pay Tehray Hoy hain !

December ....
Ab bhi Tera muntazir Hay .!

woh Lamhay............
Soch Ki Dahleez Pay Tehray Hoy hain !

December K mahenay main
Hazaroon Saal Pahlay Jab

Teray Waday K Honatoon Ne
meri Ankhoon Say Behtee Zindagi K Hanth Choomay Thay !

meri Bayrang Batoon K Kinaray
Tum Nay Kwabon K
Sahary or Ashkon K Sitaray Rakh Diye Thay !

aur .......
Hawa Ko apni Chahat Ki
Hifazat Kaa Ishara Kar Diya Thaa !

Hawa Ki Khunkiyon main ab Bhi Teri naram batain
aahatoon Kaa Jaal Buntee Hian !

Sama'at ....ab Bhee Teray
Qahqahon Kaa Shoor Sunti Hay !

Khayal ab Tak Tumhari Ungliyon Say
meray Dil K Surkh Ansoo Pochta Hay!

Nigahain Baraf K Phelay
chamaktay Kenwas Par Jaa-Bajaa
Teri Rifaqat Ki Zarorat Paint Karti Hay !

Tehtartay Paniyon K Tan Pay Bikhri Dhoop
Tera Bagair rooti Hay
Kahan Hota Hay Too.......
Muhabat Ki Sulagtei rahguzar K Kinaray Pay

December ....
ab Bhe Tera muntazir Hay !!

Raat Uss Na Poocha Thah Tum Ko Kaisi Lagti Hai Chandni December Ki !

Raat Uss Na Poocha Thah
Tum Ko Kaisi Lagti Hai
Chandni December Ki !
Main Nay Kehna Chaha Thah
Saal-O-Maah K Baray Main
Guftagu K Kiya Maani ?
Chahay Koi Manzer Ho
Dasht Ho , Samander Ho
June Ho , December Ho
Dharkano Ka Her Naghma
Manzaro Pay Bhaari Hai
Saath Jab Tumhara Ho
Dil Ko Ek Sahara Ho
Aisa Lagta Hai Jaisay
Ek Nasha Sa Taari Hai
Lakin Uss Ki Qurbat Main
Kuch Nahi Kaha Main Nay
Takti Reh Gayee Mujh Ko
Chandni December Ki !

Kia hi udhtay hain teray hijr ke shararay mujh mein...

Kia hi udhtay hain teray hijr ke shararay mujh mein
Taiz hawaoo’n mein jhoolay shakh-e-shajar jaisay!
Baat uthay jo meray fusoo’n ki namakdani ki…!
Aankh roti hai phir samandaro’n ke pani ki!
Aah ke jaan mere ab bhi simat jati hai
Garm baho’n mein koi roh pighal jati hai!
Aah jana’n ke ab jism ka rua’n rua’n…
Tery nargasi lams ko tarasta hai!
Narm baho’n ki hiddat ko maira badan
Sard raton mein phir misl-e-sahama jalta hai!
Toot jatay hain bazoo us hawalay se…
Halq-e-ja’n mein aaya wo taira paikr-e-gull!
Ja’n se roh talak aa gie taseer-e-damak
Us hiddat ko mairee rag-o-pe machalti hai!
Rok le khama ke sagar baat badhti hai..
Sard mausum ki ab jub rut badalti hai
Tairee qurbat ko mere jaan youn machalti hai
Jaisay parawanay ko shama se koi door kerday!
Jaisay machlee ko pani se koi juda kerday…!!!

Sunehri Shamein, Thatharti Ratein, Mehekti Coffee, Woh Bheeni Khushboo...

*Sunehri Shamein,
Thatharti Ratein,
Mehekti Coffee,
Woh Bheeni Khushboo,

Khamosh Kamra,
Aatish Daan Sulaghta,
Mein Aur,
Teri Yaadon Ki Khushboo,

Haan Yehi DECEMBER Hai.

Main Lauton ga December main...

    Main Lauton ga December main

    December Jab bhi ata hai
    wo pagli...
    phir se beety mosumo'n ki
    talkhion ko
    yad karti ha
    purana card perhti hai
    k jis main os ne
    likha tha
    Main Lauton ga December main
    Nai Kapry bnati hai
    wo sara ghar sjati hai
    December k her ik din ko
    wo gin gin ker bit'tati hai
    junhi 15 guzarti hai
    wo kuch kuch toot jati hai
    magar phir bi
    purani albumo'n ko khol ker
    mazi bulati hai !!!
    nahi maloom ye osko
    k beety waqt ki khushian
    Bohat takleef deti hain
    mehaz dil ko jalati hain...
    yunhi din beet jaty hain
    December laut jata hai
    magar wo Khush feham larki...
    dobara se calendar main
    December k maheeny k safhy ko
    mord ker, phir se
    Phir se
    December ke sahar main
    Doob jati hai
    k akhir os ne likha tha....

    Main Lauton ga December main

December .... ab bhi Tera muntazir Hay .! woh Lamhay.. Soch Ki Dahleez Pay Tehray Hoy hain !

December ....
ab bhi Tera muntazir Hay .!
woh Lamhay........
Soch Ki Dahleez Pay Tehray Hoy hain !
December K mahenay main
Hazaroon Saal Pahlay
Jab Teray Waday K Honatoon Ne
meri Ankhoon Say Behtee Zindagi K Honth Choomay Thay !
meri Bayrang Batoon K Kinaray
Tum Nay Kwabon K Sahary or Ashkon K Sitaray Rakh Diye Thay !
aur .......
Hawa Ko apni Chahat Ki Hifazat Kaa Ishara Kar Diya Thaa !
Hawa Ki Khunkiyon main ab Bhi Teri naram batain aahatoon Kaa Jaal Buntee Hian !
Sama'at ....ab Bhee Teray Qahqahon Kaa Shoor Sunti Hay !
Khayal ab Tak Tumhari Ungliyon Say meray Dil K Surkh Ansoo Pochta Hay!
Nigahain Baraf K Phelay chamaktay Kenwas Par Jaa-Bajaa Teri Rifaqat Ki Zarorat Paint Karti Hay !
Tehtartay Paniyon K Tan Pay Bikhri Dhoop Tera Bagair rooti Hay
Kahan Hota Hay Too.......??
Muhabat Ki Sulagtei rahguzar K Kinaray Pay
December ....
ab Bhe Tera muntazir Hay...!!!

Usey kehna December aa gaya hai..

Usey kehna December aa gaya hai..
December k guzartay hi..
Baras ek aur mazi ki ghupa mein doob jaaye ga..
Usey kehna December laut aaye ga..
Magar jo khoon so jaayega jismon mein na jaaye ga..
Usey kehna hawayen sard hain..
Aur zindagi k kohray deewaroN main larzaan hain..
Usey kehna shagoofay tehniyon mein so rahay hain..
Aur un par barf ki chadar bichi hai..
Usey kehna agar sooraj na niklay ga..
To kaisay barf pighlay gi...
Usey kehna..
KI...
Lot Aaye...!

Ab k December may Main nay bhi kuch khawab sjaye hain...

Manoos Ajnabi
Ab k December may
Main nay bhi kuch khawab sjaye hain
apni sard aankho'n may
per darr lagta hai
kahi yeh meray khawab
pghel na jaye
Dhoop pernay per....!!

December ab kay aao to... Tum uss shehr-e-tamanna ki khabar laana...

DECEMBER ab kay aaoo to
December ab kay aao to...
Tum uss shehr-e-tamanna ki khabar laana...
Kay jis may jugnoo'n ki kehkashaain jhilmilaati hain...
Jahan titlee kay rangoo'n sey fazaain muskuraati hain...
Wahan chaaro'n taraf khushboo wafa ki hai...
Aur uss ko jo bhi pouron sey Nazar sey chhoo gaya pal bhar Mehek uthaa...
December ab kay aao to...
Tum uss shehr-e-tamanna ki khabar laana...
Jahan per rait kay zarey sitaarey hain...
Gul-o-bulbul, maah-o- anjum wafa kay istiaarey hain...
Jahan dil woo samander hai , jiss kay kaee kinaarey hain...
Jahan qismat ki daive muthiyon mein jagmagaati hai...
Jahan dhakan ki lay per bey-khudi nagmein sunaati hai...
December hum sey na poocho...
hamaarey sheher ki baabat...
Yahan aankhoun mein guzrey kaarwaan ki gard thehri hai...
Labo'n per al-atsh hain, batan mein faaqey pinaptey hein...
Muhabbat barff jaisee hai yahaan Aur dhoop kay khaitoun mein ugti hai...
Yahan jab subah aati hai Tou shab kay saarey sapney Raakh kay aik dhair ki soorat mein dhaltey hein...
Yahan jazboun ki tooti kirchiyaan aankhoon mein chupbhti hain...
Yahan dil kay lahoo mein Apne Laikh'on ko dabo ker ham Sunehray khwaab buntey hein...
Phir unn khwaaboun mein jeetay hein...
Inhi khwaaboun pey martey hein...
Dareedah rooh ko lafzoon sey seena goo nahin mumkin...
Magar phir bhi December...
Ab KaY AaOoO Tu...
Tum uss shehr-e-tamanna ki khabar laana.....!!!

Raat us ney pocha tha Tumko kesi lagti hai Chandni December ki...

Chandni december ki
Raat us ney pocha tha
Tumko kesi lagti hai
Chandni December ki...
Saal-o-maah ke baarey may Guftagu key kya maaney
Chahey koi manzar ho Dasht ho, samander ho
June ho, December ho
Dharkano ka har naghma
Manzaron pay bhaari hai
Saath jb tumhara ho
Dil ko ek sahara ho
Aisa lagta hai jaisay
Ek nasha sa taari hai
Lakin uski qurbat mein
Kuch nahi kaha mein ney
Takti rah gayee mujh ko Chandni December ki

Saturday, December 24, 2011

Usay Kehna DECEMBER lout aya hai...

USAY KEHNA........
usay kehna DECEMBER lout aya hai.....
hwayen sard hain .........
aur vaadiyan bhi dhund main gum hain......
paharon ne braf ki shaal phir se ourh rakhi hai.......
Sbhi rastay tumhari yaad main pur nam se lagtay hain.....
Jinhain sharf e musaafat tha.....
wo saray cards,wo perfume,wo chhoti c diary......
wo terris......
wo chaye jo ham ne saath main pee thi.....
tumhari yaad lati hain......
Tumhain wapis bulati hain.......
usay kehna k dekho yun stao na......
DECEMBER lout aya hai.....
suno tum lout ao na......

Monday, December 19, 2011

Wafa Woh Khel Nahi Jo Chotay Dil Wala Khailein ...

Wafa Woh Khel Nahi Jo Chotay Dil Wala Khailein 

Rooh Tak Kaanp Jati Hai Khafa Jab Pyar Hota Hai

Sunday, December 18, 2011

Bas ki dushwaar hai har kaam ka aasaan honaaa, Aadamii ko bhii mayassar nahiin insaan honaa...

Bas ki dushwaar hai har kaam ka aasaan honaaa
Aadamii ko bhii mayassar nahiin insaan honaa

Giriyaa chaahe hai Kharaabii mere kaashaane kii
Dar-o-diivaar se Tapake hai bayaabaan honaa

Waa-e-diiwaangii-e-shauq ke har dam mujh ko
Aap jaanaa udhar aur aap hii hairaaN honaa

Ishrat-e-qatl_gah-e-ahal-e-tamannaa mat puuchh
Eiid-e-nazzaaraa hai shamashiir kaa uriyaan honaa

Ishrat-e-paaraa-e-dil, zaKhm-e-tamannaa_Khaanaa
Iazzat-e-riish-e-jigar Garq-e-namakdaaN honaa

Kii mere qatl ke baad us ne jafaa se taubaa
Haaye us zod_pashemaaN kaa pashemaaN honaa

Haif us chaar girah kapDe kii qismat 'Ghalib'
Jis kii qismat men ho aashiq kaa garebaaN honaa

Mirza Ghalib

Ghum-e-hasti ka Asad kis se ho juz marg ilaj... Ghalib

Ghum-e-hasti ka Asad kis se ho juz marg ilaj

Shama her rang main jalti hai sehr hone tak..

Mirza Ghalib

Raat Kii Raani Ka Jaadoo... Parveen Shakir

    Raat Kii Raani Ka Jaadoo
    Chandni Kaa Lams
    Aapas Me GhuLe Jaate Hein
    Meri Rooh Me TahLeeL Hote Jaa Rahe Hein!
    Ye Sapna JaL Chuka Thaa
    Bas Us Kii Raakh Meri Rooh Me Aksar Urda Karti Hai
    Magar KaL Shab Mahtab Thii
    Aur Aasmaa'n Tak Noor Kii Seerdhii Bani Thii
    Sitaaro'n Se Bhara AanchaL Tha Mera
    Mere Ik Haath Me HaLke GuLabi PhooL ThaY
    Aur Doosra Ik Ajnabi Ke Haath Me Thaa
    Jis Kaa Har Andaaz Tujh Se MukhtaLif Thaa
    Magar Uss Aankh Me Jo JaG.Magahat Thii
    Meri Daikhi Hui Thii
    Aur Uss Lab Par Jo DiL'Kash Muskurahat Thii
    Meri Choomi Hui Thii.........

    Poet : Parveen Shakir

Dua ki soorat mein us ki khatir, jo mere honton se lafz nikley...

Dua ki soorat mein us ki khatir,
"jo mere honton se lafz nikley,
"jo meri ankhon se ashk nikley,
unhi k badlay mein ay KHUDAYA.....
jab bhi us ka naseeb likhna
''UROOJ likhna,
"KAMAL likhna,
"kabhi na harf-e-ZAWAL likna.
"aur us ki umar-e-draaz likhna,

Main ke shahkar hoon pathar se nikal aaya hoon, Kitna larka sa main andar se nikal aaya hon!!!!!

Waqt chup chap dabe paon utar aata hai
Sir ke balon main bujhi dhoop ki rungut bun ke
Aur aisay main december ki koi surmaee sham
Mayray ehsas pe jam jati hai hayrat ban ke

Kaheen nuzdeek se uth’ti hoi madhur si hansee
Paas se jata hoa koi khilundra lamha
Khol daita hai mari umr-e-guzishta ki kitab
Aur ik sath kaee varq palat jatay hain
Yaad aa jatay hain wo khuwab se din
Wo bharay din ki si ratain wohi mehtab se din
Bheegi aankhon main ma’ani ke samnadur perhna
Jo kitabon main likha tha usay kam kam takna
Chand chehron pe jo likha tha wo aksar parhna
Roz ik taza qaseeda nai tashbeeb ke sath
Aik hi shakhs ki gul parahan-i per parhna
Lafz perhna bhi to lehjoon ke barabar perhna

Upni yadoon ke dafeenay ki talab mein main ne
Aaj khurchi hay badan say wo shub-o-roz ki gard
To ye ehsas hoa hai mujh ko
Main ke shahkar hoon pathar se nikal aaya hoon
Kitna larka sa main andar se nikal aaya hon!!!!!

Yun hi hansi hansi mein, Hum dilon se khel jate hain

Yun hi hansi hansi mein
Hum dilon se khel jate hain
Koi chhoti si teekhi baat
koi chubhta hoa jumla
koi zehar aalod lehja
koi be zaraz domani baat
Sunne wale ke dil par ghao laga jaati hai
Phir kitene hi talafi ke marham lagao
Qatrah qatrah khon
Tapakta hi rehta hai
Woh ansoo
Jo aankh se girta hi nahin
Andar hi andar jam jaata hai
Barf par gire garam mom ke qatre ki tarah
Aur woh barf toh shayed
Waqt ki garmi se pighal jaati hai
Magar woh qatra
Jab bhi pighalne lagta hai phail jaata hai
Badh jaata hai bas khatam nahin hota
Aur
Yun hi hansi hansi main
Hum dilon se khel jaate hain

December Ki Baarish May, Bheegtay Pairoo'n Say Pocho, AkelaPan Kya Hai...????

December Ki Baarish May
Bheegtay Pairoo'n Say Pocho
AkelaPan Kya Hai...????
Tanhai Kisey Kehtay Hain?
Seh-Peher Ki Dhoop Ko Tarashna
Aur Barish May Bheegtay Rehna
Jangal Ki Raaho'n May Akelay Chalna
Aur Barish May Bheegtay Rehna..
December Ki Barish May
Leher-dar-Leher Mehekti Hawa Say Pochoo
Khushbo Sa Khayal Rakhne Wale
Tanha Kaise Rehte Hain??
Bheegti hain sard Raatein
December Ki Barish Say Kaho !
Kabhi Jungle K Us Paar Miley
Dhaltay Hui Sham K Saaye main
To Unn Aankhon Say Milay..!!
December Ki Barish Say Kahoo........

Main aainey ke samney, khari sooch rahi hoon...!

Main aainey ke samney
khari sooch rahi hoon...!
Mera t0u us se...~koi ta'aluq naa tha ...?
Phr Q uss k~jane ke baad...?
Meri aankhon mein
Phailta gaya kajal...........??????

Tumhari aankhain kehti hain hisar-e-zaat say niklo, Tamanna meri ban jao, shab-e-barbaad say niklo ...

    Tumhari aankhain kehti hain hisar-e-zaat say niklo
    Tamanna meri ban jao, shab-e-barbaad say niklo

    Kinara thaam lo dil ka bhula do her gila shikwa
    Kabhi sachi hansi hans do punari yaad say niklo

    Khayal-e-yaar acha hai magar jis nay wafa na ki
    Palat ker phir sada na do, dar-e-faryad say niklo

    Nahin koi muhabbat bhi, jijr rut bhi, raqabat bhi
    To yeh dharka sa kya, kahiye, wehem ki ghaat say niklo

    Sukhanwer hum say kehta hai saja lo ankh main kuch khwab
    Dharakna dil ko sikhla do, amaawas raat say niklo

    Nahin tum ko gawara ab hamara qurb to keh do
    Hamaray karb ki choro, tum is gardaab say niklo

    Sar-e-maqtal jo jatay ho, na ho darmandgi kuch bhi
    Zamana daikh tham jaye, kuch is andaas say niklo

Yeh Us Dour Ki Baat Hai, Jab Tha Mujhe Pata Na Kuch..

Yeh Us Dour Ki Baat Hai
Jab Tha Mujhe Pata Na Kuch
Tha Shayad Mujhko Gumaan Koi
Tha Mujhko Kuch Khayal Sa
Ke Ho Na Jaaye Kuch Saraab Sa
Safar Tha Kuch Likha Hua
Tha Hona Jiska Muqaddar
Hua Jo Pata Tab Bhi Na Tha
Main Tha Jo Gumaan Main
Na Thi Mujhko Fikar Koi
Na Tha Mujhko Lihaaz Sa
Phir Waqt Thumke Guzar Gaya
Main Raiza Raiza Bikhar Gaya
Shayad Yeh Bhi Waqt Ki Baat Hai
Shayad Ispe Bhi Gumaan Hai

Teray hi firaaq k lamhay shumaar karty huay.. Bikhray ja rahy hn tera intaizaar karty huay..

Teray hi firaaq k lamhay shumaar karty huay..
Bikhray ja rahy hn tera intaizaar karty huay..
Tu mai b khush hn ja k koi us sy keh dy..
Agr wo khush hai mujko be'qrar karty huay..
Mai muskrata hua ainaay mai ubrhuun ga..
Wo roo parhy ge achanak sing'aar karty huay..
Tumain khabr hi nhi k toot gya hai koi..
Muhabt ko bht paidaar karty huay..
Mujy khabr thi k loat k na aon ga..
So tujh ko yaar kaha dil py war krty huay..
Wo keh rahe thi samandar nhi AANKHAIN hn..
Mai un mai doob gya aitbaar karty huay..

Jis Ka Milna Mahal Ho... Us Ki Yadeen Azaab Hoti Hn..

Jis Ka Milna Mahal Ho...

Us Ki Yadeen Azaab Hoti Hn..

Tujhe Bhool Ke Na Bhula Sakoon, Tujhe Chah Ke Bhi Na Pa Sakoon...

Tujhe Bhool Ke Na Bhula Sakoon
Tujhe Chah Ke Bhi Na Pa Sakoon
Meri Hasraton Ko Shumaar Kar
Meri Chahaton Ka Sila Na De

Aye December teri Yakhbasti mein bhi, Talab Uski Kion Munjamind nahi hoti...

Aye December teri Yakhbasti mein bhi
Talab Uski Kion Munjamind nahi hoti

Masroof Zindagi Mein Teri Yaad k Siwa, Aata Nahi Hai Koi Mera Haal Poochney....

Masroof Zindagi Mein Teri Yaad k Siwa,
Aata Nahi Hai Koi Mera Haal Poochney....

Saturday, December 17, 2011

Zindagi Mein Teri Yaadon Ko Bhula Doon Kaise...

Zindagi Mein Teri Yaadon Ko Bhula Doon Kaise,
Raat Baki Hai Chiragon Ko Bujha Doon Kaise,

Kiss Tarah Dil Mein Tere Apni Tammana Rakh Doon,
Khwab Apne Teri Aankhon Mein Saja Doon Kaise,

Aaj Bhi Jin Se Tere Lams Ki Khusboo Aaye,
Unn Khaton Ko Tere Kehne Se Jala Doon Kaise,

Dil Ka Har Naksh Hai Pathar Ki Lakeeron Jaisa,
Abb Mitana Chaahun To Mita Doonn Kaise,

Wo Mere Paas Hai Main Phir Bhi Hu Tanha-Tanha,
Kisi TasVeer Ko Insan Bana Doon Kaise. . .. . . . .??

Friday, December 16, 2011

Muje Us Se Muhabbat Hy..

Muje us Se Muhabt Hy,
Usy b yaad ho shayad,
Abi ye kal ki batein hain,
Mera us se khafa hona,
Mera usko mna lena,
Sarapa iltija hona,
Wo ab b yad hy mj ko,
Us k israr krny pr,
Mera iqrar kr lena,
Boht dheemy se lehjy me
Ye us k kaan me kehna,
Qsm se hy,
Qsm se hy,

"Muje tm se MUHABBAT hy"...!

Tery mashwary k khuloos pay mujy taark ishq kabool hai

Tery mashwary k khuloos pay mujy taark ishq kabool hai

Magar ik baat hai hum nasheen... meri zindagi ka sawal hai...

Mohabbat Ki Riwayat Sy BAch Na Paon Gay!!!!

Mohabbat Ki Riwayat Sy BAch Na Paon Gay!!!!

Jaan Ly Ly Ga Koi Jaan Sy Pyara Ban Kar...!!!!!

Shikayatein Bhi Theen Unhein To Sirf Mery Hi Khuloos Sy . . .

Shikayatein Bhi Theen Unhein To Sirf Mery Hi Khuloos Sy . . .

Ajab Thay Woh Apny Jo Meri Aadatein Na Samajh Sakay . . . !!

Yah jo hum main tum main nibaah hay, mere hosle ka kamaal hay.....!!

Yah tumhari laakh nawai'yan koi or seh kar to dikhaye,

Yah jo hum main tum main nibaah hay, mere hosle ka kamaal hay.....!!

Nami ankhon ki kehti hai mujhe tum yaad aate ho...!!

Zamane ke sawalo ko main hans ke taal du sanam,,,

par nami ankhon ki kehti hai mujhe tum yaad aate ho...!!

Tujhe Haq Dia Hai Mene Mere Sath DIL Lagi Ka...

Tujhe Haq Dia Hai Mene Mere Sath DIL Lagi Ka...

Mere DIL se Khail Jab Tak Tera DIL Behal Na Jaye....

Aansoo Tha Us Ka Theek wahi Par Gira hua, Khat me jahaan Tha Tark-e-Ta'aluq Likha hua..

Aansoo Tha Us Ka Theek wahi Par Gira hua
Khat me jahaan Tha Tark-e-Ta'aluq Likha hua..

Lakeerien Kheench Lene Se Haseen Paikar nahie Banta...

Lakeerien Kheench Lene Se Haseen Paikar nahie Banta
Agar Rangon ko dein Tarteeb to Manzar nahi Banta
Hai Rishton me zaroori Pyar Aur Sacchaaii Bhi "Yaaron"
Faqat Deewaar Uth Jaane Se koi Ghar nahi Banta....

Jab se hua hai wo khuwaab ki tarah, zindagi guzer rahi hai azaab ki tarah

Jab se hua hai wo khuwaab ki tarah

zindagi guzer rahi hai azaab ki tarah...

Na hareef e jaan, na shareek e gham, shab e intzar, koi to ho...

Na hareef e jaan, na shareek e gham, shab e intzar, koi to ho,

kise bazm e shouq me'n laae'n hum, dil e beqaraar, koi to ho...

Mit Jaai Gunahoun Ka Tasawur Bhi Jahan Se...

Mit Jaai Gunahoun Ka Tasawur Bhi Jahan Se

Gar Zehan Main Yah Ho Ke Khuda Dekh Raha Hai....

Kahin Tum Bhi Na Ban Jana Mazmoon Kisi Kitaab kaa

Kahin Tum Bhi Na Ban Jana Mazmoon Kisi Kitaab kaa

Log Baray Shok Se Parhty Hain kahaniyan Be'Wafaon Ki...

Ye Mohabbat Mein Meri ''JAAN'' Siyaasat Kesi...!

Rukh-e-Gul Aur Taraf,
Rooh-E' Sukhan Aur Taraf,,,

Ye Mohabbat Mein Meri ''JAAN'' Siyaasat Kesi...!

Yehi Darr tha ki Humse Daaman-e-Mohabbat na Chhoot jaye...

Yehi Darr tha ki Humse Daaman-e-Mohabbat na Chhoot jaye

Maloom na tha Kal ye Mohabbat hi humein Chhor degi..

Nahi marta koi kisi ki judaai me...

Ye theek hai nahi marta koi kisi ki judaai me

Khuda magar kisi ko kisi se juda na kare. . .

KAsh Wo Ek MokA DetA BAat KArne KA...!!!

 KAsh Wo Ek MokA DetA BAat KArne KA...!!!
 
Hum Un ko BHi RulA DetA Un K SitaM SunA SunA K....

Ik baat kahoon ager suntay ho, Tum mujh ko achay lagtay ho...

Ik baat kahoon ager suntay ho
Tum mujh ko achay lagtay ho
Kuch chanchal say kuch chup chup say
Kuch pagal pagal lagtay ho
Hain chahnay walay or bohat
Per tum main hai ik baat bohat
Tum apnay apnay say lagtay ho
Ik baat kahoon ager suntay ho
Tum mujh ko achay lagtay ho ♥♥

Mujhe Samjhaaya Na Karo Ke Ab Tou Ho Chuki Mujhko

Mujhe Samjhaaya Na Karo Ke Ab Tou Ho Chuki Mujhko,,,
♥ ♥ ♥
Mohabbat Mashwaraa Hoti tou Tumse Pooch Ker Kerte..... ♥

"Sapnon se Bhare Naina" - Shankar Tucker ft. Rohini Ravada

"Aaj Jaane Ki Zid Na Karo" - Shankar Tucker ft. Rohini Ravada

Kal Tairay Sheher Ka Ik Shakhs Mila Jo mujhsay, Batoon Batoon Main Taira Zikr Bhi Zaalim Nay Keya...

Kal Tairay Sheher Ka Ik Shakhs Mila Jo mujhsay
Batoon Batoon Main Taira Zikr Bhi Zaalim Nay Keya

Naam Kya Aaya Taira Us Kay Laboon Par Jaana
Jis Tarhaan Rooh Kisi Jism Say Khinch Kar Ayey
...
Youn Laga Moat Kay Saayey mairay Sar Par Ayey
Phir Tairay Pyaar Ki Paazaib Achaanak Chanki

Phir maira Wehem Dilasoon Ki Hadoon Say Nikla
Phir mairy Aankh Main Saawan Kay Katooray Chalkay

Phir mairy Jaan Pay Qayaamat Ki Ghary Aa Thehry
Phir mairay Dil Nay Ajab Maangy Dua'a "MAALIK" Say

Aaj Kay Baad Taira Zikr Karay Na Koyee
Aaj Kay Baad Taira Koyee Shanaasa Na Milay.

Thursday, December 15, 2011

Mere sarkash taraane sun ke duniya ye samajhti hai, k shaayad mere dil ko ishq ke nagmo'n se nafrat hai...

Mere sarkash taraane sun ke duniya ye samajhti hai
k shaayad mere dil ko ishq ke nagmo'n se nafrat hai
mujhe hungama-e-jang-o-jadal mein qaif milta hai
meri fitrat ko khoonrezi ke afsaano se ragbat hai
meri duniya mein kuch vaqa’at nahi'n hai raqs-o-nagme ki
mera mehboob nagma shor-e-aahang-e-bagaawat hai
magar ae kaash! dekhein wo meri pursoz raato'n ko
main jab taaro'n pe nazarein gadaakar aansu bahaata hoon
tasavvur banke bhooli vaardaatein yaad aati hain
to soz-o-dard ki shiddat se peharo'n tilmilaata hoon
koi khwaabo'n mein khwaabeeda umango ko jagaati hai
to apni zindagi ko maut ke pehlu mein paata hoon
main shaayar hoon mujhe fitrat ke nazaaro'n se ulfat hai
mera dil dushman-e-nagma-saraai ho nahi'n sakta
mujhe insaaniyat ka dard bhi bakhsha hai qudrat ne
mera maqsad faqat shola navaai ho nahi'n sakta
jawaan hoon main jawaani lagzisho'n ka ek toofaa'n hai
meri baato'n mein rang-e-paarsaai ho nahi'n sakta
mere sarakash taraano'n ki haqeeqat hai to itni hai
ki jab main dekhta hoon bhookh ke maare kisaano'n ko
gareebo'n ko, mufliso'n ko, bekaso'n ko, besahaaro'n ko
sisakti naazneeno'n ko, tadapte nau-jawaano'n ko
huqoomat ke tash'addud ko, amaarat ke taqabbur ko
kisike chithdo'n ko aur shehanshaahi khazaano'n ko
to dil taab-e-nishaat-e-bazm-e-ishrat laa nahi'n sakta
main chaahu'n bhi to khwaab-aawar taraane ga nahi'n sakta.

Main ne is taur se chaha tujhay aksar janaan, Jasse mahtaab koo bay-ant samandar chahay...

Main ne is taur se chaha tujhay aksar janaan,
Jasse mahtaab koo bay-ant samandar chahay,
Jasse sooraj kii kiran seep k dil main utray,
Jasse khushboo ko hawa rang se hatt kar chahay,
Jasse pathar k klajay se kiran phootii hay,
Jasse khawaboon main khyaloon ke kama tootii hay,
Jasse ghunchay khilay mousam se hina mangtay hain,
Jasse barish kii dua ablaa pa magtay hain,
Mera her khawab mere such kii gawahii day ga,
Wusat-e-deed ne tujh se tere khahish kii hay,
Mere soochoon main kabhii dekh sarapaa apna,
Main ne dunya se alag tere parishtish kii hay,
Khahish e deed ka mousam kabhii dhundla joo hua,
Nooch dalii hain zamanay kii naQabain main ne,
Tere palkoon pe utartii howii subhoon k liye,
Toor dalii hain sitaroon kii tanabain main ne,
Main ne chaha k tere husaan kii gulnaar fiza,
Mere ghazloon kii kataroon se dhaktii jay,
Main ne chaha k mere fun k gulistaan kii bahaar,
Tere ankhoon k gulaboon se mehaktii jay,
Tay to ye tha k sajata rahay lafzoon se kanwal,
Mere khamosh khiyaloon main takalum tera,
Raks karta rahay bharta rahay khushboo ka khumaar,
Mere khahish k jazeeroon main tabbassum tera,
Tou mgr ajnabi mahool kii parwarda kiran,
Mere bujhtii howii ratoon kii sehar kar na sakii,
Tere sansoon main maseehaii thee lakin tou bhii,
Chara-e-zakhm gham-e-deeda-e-tarr kar na sakii,
Tujh koo ehsaas hii kab hay k kisse dard ka daagh,
Ankh se dil main autarr jay to kiya hota hay??
Tou k seemaab tabiyaat hay tujhay kiya maloom??
Mousam-e-hijr thehr jay tou kiya hota hay,
Tou ne us mor pe tora hay ta'aluq k jahan,
Daikh sakta nahii koi bhii palat kar janaan,
Ab yah aalaam hay k ankhain joo khulain gii apnii,
Yaad aye ga tere deed ka manzaar janaan,
Mujh se mangay ga tere ehd-e-mohabaat ka hisaab,
Tere hijraan ka dahakta hua meh'sharr janaan,
Yoon mere dil k barabar tera gham aya,
Jasse sheeshay k mukabil koi pathar janaan....

Mere pagal Piya Meri chahat na kar...

Mere pagal Piya Meri chahat na kar
Mujhey dekha na kar Mujha sochaa na kar
Meri Be Khawab Aankhon mein na janka kar
Mein to khoo jao gi Mujhey na dhoonda kar...
Mein hun Bad-e-Saba jo rukti nahi
Mein hun essi Ghatta jo barasti nahi hai
Mien essi leher hun jiss mein Halchal na ho
Na tum ko Dabo dey ye lehrein kahein
Mere pagal Piya essi khawaesh na kar
Mein woh sapna hun jo ke sach na ho
Mein woh Umid hun jo ke adhoori rahey
Mein woh rasta hun jiski na manzil miley
Mein woh sehraa hun ke jis mein Bhatak jao ge
Mere pagal Piya esse raste pe na chal
Mein essi kiran hun jo ke be-noor hai
Mein to woh sep hun jiss mein moti na miley
Mein to woh khooshboo hun jiss ko bikar jana hai
Mere pagal Piya mera picha na kar
Mein to woh shaam hun jo ke dhal jaye gi
Mein to woh rat hun jiska sawera na ho
Mein to woh Aag hun jo ke dehekti rahe
Na mere Paas tu AAa to be jaal jaye ga
Mere pagal Piya tu lout jaa
Mere pagal Piya Meri Chahat na kar
Mujhe Dekha kar Mujhe Sochaa na kar...

Mere pagal Piya..

Suno !! December ki thitartee hui shamein...

Suno !!!!!!
December ki thitartee hui shamein
kohar mein lipti dhundhli si subhein
Darakhtoan sy girty huy khushq zard pattey
Wo ga'oun k tama'm raastey
mohabbaton k tama'm rishtey
khiyaal abaad kartey hein
tumhein sab yaad kartey hen !!


Main uske chehre ko dil se utar deti hoon, Main kabhi kabhi to khud ko bhi mar deti hoon..

Main uske chehre ko dil se utar deti hoon,
Main kabhi kabhi to khud ko bhi mar deti hoon,
Ye mera haq hai ke main usko thora dukh b doon,
Main chahat bhi to use beshumar deti hoon.
Khafaa woh reh nahin sakta lamha bhar bhi,
Mein bohat pehle hi us ko pukaar leti hoon.
Mujhe siwa uske koi bhi kaam nahin soojhta,
Woh jo bhi karta hai, mein sab hisaab leti hoon.
Woh sabhi naaz uthaata hai mein jo bhi kehti hoon,
Woh jo bhi kehta hai, Mein chupke se maan leti hoon.

Main ne is waste Majnoo ki trafdari ki..

Us ke aanay ki khabar Suntay hi tayyari ki
Main ne gi bhar ke gulaabon ki kharidari ki

Halate hijar mein fil`haal Sukoon milnay laga
Nasha-e-dard ne aawaz nahin bhaari ki,

Warna yeh log Mujhay tujh Se juda kar detay
Main ne da`nista muhabbat mein adakari ki,

Ishq mein mera bhi dewaangi maslak hai yahan
Main ne is waste Majnoo ki trafdari ki,

Phool khilte hi koi bichra hua yaad aaya
Main ne khush hone ki mosam mein dil-aazari ki

Wohi aahatain dar-o-baam per, Wohi rut jagon k azaab hein..


Wohi aahatain dar-o-baam per,
Wohi rut jagon k azaab hein,
Wohi adh bujhi meri neend hai,
Wohi adh jaly mery khuab hein,

Mery saamny ye jo kehkasha'n,
Ki hay dhund had-e-nigah tak,
Pary is key jaany hein haqeeqatein,
Ya haqeeqaton key sarab hein,

Kabhi chaha khud ko samitna,
To bikhar k or bhe reh gaya,
Hein jo kirchi kirchi pary hoy,
Mery saamny mery khuab hein,

Ye na pooch keisy basar kiye,
Shab-o-roz kitny pehar jiye,
Kisy raat din ki tameez thi,
Kisy yad itny hisab hein...

Ishq aap wee a walla, Aehdey kum wee awallay

Ishq aap wee awalla...
Aehdey kum wee awallay
Jidhay pesh paiy janda...
Kakh chad'da nai pallay
Teri deed da chaa'
Ujj wakt-e-nizaa
Niklay mera saa
Takday takday
Mere beparwa hun aa we ja
Thak gayee aye nigah
Takday takday
Menu maut ton darra ke
Karhya munh na tu morr
Mey taan neeti hai namaz
Meri neet na tu torr
Jind yaar dey hawalay
Akh jidhay naal larri
Dil vich shauq milan daa
Hanerii ishq dii charhii...
Kanday uttay mehrmaa wey
Mey tey kadon dii kharii...

Wo humsafar tha, magar us se humnawai na thi..

Adavatain thin taghaful tha, ranjashain thin, magar,
Bicharnay walay main sab kuch tha, bewafai na thi,
Wo humsafar tha magar us se humnawai na thi,
Ke dhop chaon ka alam raha, judaai na thi...

Bichartay waqt un ankhoon main thi hamari ghazal,
Ghazal bhi wo jo kisi ko abi sunai na thi,
kisay pukaar raaha tha wo dobtaa hoa din,
Sadaa to aai thi, lekin koi duhaaei na thi,

Tark-e-taluqaat pe roya na tu na main,
Lekin yeah kia ke chain se soya na tu na main,
kabi yeah haal ke dono main yak dili thi naseer,
kabi yeah marhala, jaisay ke ashnaaei na thi,
Na apna runj na apna dukh, na ooroon ka malaal,
Shaab-e-faraaq kabi hum ne yuh ganvaaei na thi,

Muhabbatoon ka safar kabi is tarah bhi guzra tha,
Shikasta dil thay musaafir, shikasta paaei na thi,
Ajeeb hoti hai raah sukhaan bhi, daikh naseer,
Wahaa bhi agaaye akhir, jahaan rasaaei na thi...

Who humsafar tha, magar uss say humnawaayi thi..

Tarq-e-taaluqaat pe roya na tu, na main.. Lekin ke yeh kya chain se soya na tu, na main..
Jab tak bikaa na tha, to koi poochhta na tha.. Tumnay mujhe khareed kar anmol kar diya..
Who humsafar tha, magar uss say humnawaayi thi,
Ke dhoop chhaon ka alam raha, judaai na thi..
Suna hai ghair ki mehfil main tum na jaoge.. kaho to aaj sajaa loon gharib-khanay ko..
Adavaatain thi, taghaful tha, ranjishain thi magar,
Bichhaddnay walay mein sab kuch tha, bewafai na thi..
Kaaga sab tann khaaiyo, chun chun khaiyo maas.. do naina mat khaaiyo, inhe Piya milan ki aas..
Bichhaddtay waqt un aankhon mein thi humari ghazal,
Ghazal bhi who jo kisi ko abhi sunayi na thi..
Teri soorat se nahin milti kisi ki soorat, hum jahan mein teri tasveer liye phirtay hain..
Tulsi aisi preet na kar, jaisay lambi khajoor, dhoop lagay to chhaon nahin, bookh lagay, phal door..
Ajeeb hoti hai raahay-sukhan bhi, dekh Naseer,
Wahan bhi aa gaye jahan rasaai na thi..