Monday, December 26, 2011

Gali min dard k purze talash karti thi. Mere khatoot k tukrre talash karti thi...

Gali min dard k purze talash karti thi.
Mere khatoot k tukrre talash karti thi.

Bhulaye kon aziyat pasandiyan us ki.
Khushi k dher min sadme talash karti thi.

Ajab hijar parasti thi us ki fitrat min.
Shajar k toot’te patte talash karti thi.

Qayam karti thi wo mujh min soofiyon ki trah.
Udas rooh k goshe talash karti thi.

Tamam rat wo parde hata k chaand k sath.
Jo kho gaye the wo lamhe talash karti thi.

Kuch is liye bhi mere ghar se us ko thi wehshat.
Yahan bhi apne hi piyare talash karti thi.

Ghuma phira k judai ki bat karti thi.
Hamesha hijar k harbe talash karti thi.

Tamam rat wo zakhma k apni pooron ko.
Mere wajood k raz talash karti thi.

Duaen karti thi ujre hoe mazaron par.
Bare ajeeb sahare talash karti thi.

Mujhe to aj bataya he badlon ne WASI.
Wo laut aane k raaste talash karti thi.

No comments:

Post a Comment