Monday, December 26, 2011

Dard ki har ik had se ab guzar gaya hon min. Phir kabhi na simton ga yon bikhar gaya hon min...

Dard ki har ik had se ab guzar gaya hon min.
Phir kabhi na simton ga yon bikhar gaya hon min.

Mout bas nhi aati rooh k nikalne se.
Sans mujh min baqi he phir bhi mar gaya hon min.

Zindagi min jitni bhi roshni thi, us se thi.
Mustaqil andheron min ab utar gaya hon min.

Baam-o-dar bhi us k bad ho gaye hen yon khamosh.
Aur dil ulajhta he jab bhi ghar gaya hon min.

Us ka sath jab tak tha rang rang mosam the.
Bas khizan k mosam min ab thehar gaya hon min.

No comments:

Post a Comment