Monday, December 26, 2011

Kaafee naheen hai sirf raat, pyaar ke liye! Har lamaha haqeeqee hai wasl-e-yaar ke liye!!

Kaafee naheen hai sirf raat, pyaar ke liye!
Har lamaha haqeeqee hai wasl-e-yaar ke liye!!

Mousam ko badalnaa hai, badaltaa hai roz-roz;
Ham kyoun rukeyngey yom-e-intizaar key liye?

Har simt, nigaahon mein hai qaraar hee qaraar;
Kuchh bhee naheen hai ahl-e-beyqaraar key liye!

Shaadaab sabzhkheyz zamin kah rahee hai roz:
Tashreef laayiye idhar, qaraar key liye!

Ham hain tabeeb aik-doosarey key khud; naheen
Laachaar kisee aur gamgusaar key liye!

Katm-e-adam sey aaj talak, ba'ad mein us paar;
Hamkhwaab ham baney hain baar-baar key liye!

Beychainiyaan chhuyengeen hamain kyoun bhalaa, 'abd',
Unkaa maqaam tay hai darkinaar key liye!

No comments:

Post a Comment