Monday, June 4, 2012

Na koi fikar laa'haq hay, "na koi yaad hay baki" Magr yeh akhri misra, zara sa jhoot lgta hay..

Na koi fikar laa'haq hay, "na koi yaad hay baki"
Magr yeh akhri misra, zara sa jhoot lgta hay..

Us Mour Say Shuru karain Aa Phir Se Zindagi Har Sheh jahan Haseen THi oR Hum tum ajnabii

Us Mour Say Shuru karain Aa Phir Se Zindagi

Har Sheh jahan Haseen THi oR Hum tum ajnabii

Thak sa geya hai meri Chahaton ka wajood” “Wassi” “Ab koi Acha b Lagay to ham Izhar nhi krtay ...

Thak sa geya hai meri Chahaton ka wajood”

“Wassi”

“Ab koi Acha b Lagay to ham Izhar nhi krtay ...

Jab Ghrz Hoi Tab salam Kiya, Jab Waqt Mila Tab Yaad Kiya! Ab Or Haqiqat Kaya Likhon Is Doar K Mukhlis Yaaron Ki??

Jab Ghrz Hoi Tab salam Kiya, Jab Waqt Mila Tab Yaad Kiya_____!

Ab Or Haqiqat Kaya Likhon Is Doar K Mukhlis Yaaron Ki??

Tumhe mujh ko satana ha? Chalo jee bhar k tang kr lo.. K ye bachon ki aadat ha, Khilone haath mein hon to, Zara bhi dum nahi lete...

Tumhe mujh ko satana ha?
Chalo jee bhar k tang kr lo..
K ye bachon ki aadat ha,
Khilone haath mein hon to,
Zara bhi dum nahi lete,

Magar thehro…..!

Kabhi aisa bhi hota ha,
Ise bhi zehan mein rakhna,
Zara c be-dhayani mein,
Zara c be-khayali mein,
Inhein zyada satao to,
Ye aksar rooth jate hain,
Khilone toot jate hain...!

Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay Andaaz badal lena,awaaz badal lena

Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay
Andaaz badal lena,awaaz badal lena

Dunia ki muhabbat main atwaar badal lena
Mosaum jo naya aaye raftaar badal lena

Agyaar wohi rakhna aehbaab badal lena
Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay

Rasty main agar milna nazron ko jhooka lena
Awaaz agar do to katra k nikal jana

Har ek say juda rehna har ek say khafa rehna Har ek ka gila karna
Jaty hoye raahi ko manzil ka pata day kar rasty main rula dena
Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay

Wednesday, May 23, 2012

CHAL INSHA APNE GAON MEIN!!!

yahan ujle ujle roop bahot;
par asli kam, behroop bahot.

us pairr k neeche kia rukna?

jahan saya kam ho, dhoop bhot.

Chal Insha Apne Gaon Mein...

bethein ge sukh ki chaoon mein.

q teri aankh sawali he?

yahan har ik bat nirali he...

is dais basera mat karna;

yahan muflis hona gaali he...


chal insha apne gaon mein;


jahan sache rishte yaron k...

jahan ghongat zewar naron k...

jahan jharne komal sur wale...

jahan saz bajen bin taron k...


Chal Insha Apne Gaon Mein


CHAL INSHA APNE GAON MEIN!!!

Tuesday, May 22, 2012

Yeh Kiss Ne Kaha Tum Koooch kro, Baatein Na Banao Insha Ji,



Yeh Kiss Ne Kaha Tum Koooch kro Insha JI

yeh kis ne kaha, tum kooch karo
baatein na banao insha ji,
yeh shehar tumhara apna hai
issay chor na jao, insha ji,

ek rooz to kiya wo hashar talak
rakhay gi khula darwaazay ko
kab laut ke ghar ko aao gaiy
sajni ko batao, insha ji,

kiya sooch ke tumne seenchi thi
ye kaisi kiyaari chahat ki
tum jinko hansaatay aye ho
unko na rulao, insha ji,

tum laakh seyaahat ke ho dhani
ek baat humari bhi maano
koi jaa ke jahan se aata nahi
uss des na jao insha ji,

nahi sirf Qateel ki baat yahan
kahin Sahir, kahin Aali hain
tum apnay puraanay yaaroN se
daaman na churaao insha ji,

ye shehar tumhara apna hai
issay chor na jao, insha ji, insha ji, insha ji

ye kis ne kaha, tum kooch karo....

Insha ji! uTho! ab kooch karo, is shehr mein ji ka lagana kya



Insha ji! uTho! ab kooch karo, is shehr mein ji ka lagana kya.
Vehshi ko sukoon se kya matlab, jogi ka nagar mein Thikana kya.

Is dil ke dareeda daman ko dekho to sahi, socho to sahi;
Jis jholi mein sau chhed huhe us jholi ko phailana kya.

Shab beeti, chaand bhi Doob gaya, zanjeer paRi darvaze mein;
Kyon der gaye ghar aaye ho, sajni se karoge bahana kya.

Us husn ke sache moti ko ham dekh sakein, par chhu na sakein;
Jise dekh sakein par chhu na sakein vo daulat kya vo Khazana kya.

Us ko bhi jala dukhte huhe man, ek shola laal bhabhooka ban;
Yoon aansu ban beh jana kya, yoon maTi mein mil jana kya.

Jab shehar ke log na rasta dain, kyon ban mein na ja bisram kare;
Divanoon ki si na baat kare, to aur kare divana kya.

(Poet: Ibn-e-Insha) 

Monday, May 21, 2012

Suno, Aay Chand Si Larki.. Abi Tum Titliyaan Pakro, Ya Phir Guriyon Say Khelo Tum!

 
Suno......Aay Chand Si Larki. . .!

Abhi Tum Titliyaan Pakro
Ya Phir Guriyon Say Kehlo Tum!

Ya Phir Massom Si Aankhon Say
Dhairon Khawab Dekho Tum
Faraz-o-Faiz-o-MOHSIN Ki
Kitaben Mat Abhi Parhna
Ye Sab Lafzon K Sahir Hain,
Tumhien Uljha Kay Rakh Daingay,

Tumhein Maloom Hi Kab Hai,
Mohabbat K Libaday Main,

Hawas Aur Hirs Hoti Hai,
Ye Insanon Ki Dunya Hai,

Magar In Say Kaheen Barh Kar,
Yahan Wehshi Darinday Hain,

Wo Wehshi Jin Ki Aankhon Main
Machaltay Piyar kay Peechay
Hawas aur Hirs Hoti Ha,

Abhi Kachi Kalii Ho Tum......
Abhi Kaanton Say Mat Khelo,

Abhi Apni Hatheli Par
Kisi Ka Naam Mat Likho,
Abhi Apni Kitaabon Main,
Gulaabi Phool Mat Rakho

Abhi Tum Titliyan Pakro
Abhi Guriyoun Say Khailo Tum...,

Sunoo....~! Aay Chand Si Larki.......~

Monday, December 26, 2011

Main sab wafaoon ki ibtada hon mujhay duaaoon mein yaad rakhna

Main sab wafaoon ki ibtada hon mujhay duaaoon mein yaad rakhna
Main jazab e ulfat ki intaha hon mujhay duaaoon mein yaad rakhna

Teri muhabat ki saatoon mein teri judai ke rutjagoon mein
Main dard lamhay guzarta hoon mujhay duaaoon mein yaad rakhna

Bichar gaye hain to aab najanay kiya hal hai magar main
Shikasta khawab o shikasta paa hoon mujhay duaaoon mein yaad rakhna

Tumaray gum ke lamhay aazab ban ker uter rahay hain
Main kitnay sadme utha raha hoon mujhay duaaoon mein yaad rakhna

Woh meri zaat mein jab tak raha likhna nahe bhooli, Koi bhi dard jo mein ne saha likhna nahe bhooli...

Woh meri zaat mein jab tak raha likhna nahe bhooli
Koi bhi dard jo mein ne saha likhna nahe bhooli

Woh jo mehvar thaa likhne ka, juda ho kar mila ek din
Mila tu yeh kaha us ne suna likhna nahe bhooli

Suna hai ab bhi chaahat mein tumhara naam ‘Saail’ hai
Suna hai ab bhi tum mujh ko Khuda likhna nahe bhooli

Suna hai ab bhi tum mujh ko mere Saahir bulati ho
Suna hai mujh ko rag rag mein basa likhna nahe bhooli

Kaha ke bhool bethi hoon hatheli per hina likhna
Magar mein aasmanoo per dua likhna nahe bhooli

Samay ke uth’tay mathay per tujhe dhoonda, bahut dhoonda
Samay ke jhuktay shanoo per sada likhna nahe bhooli

Mujhe ek din mere kaatib ne likha thaa juda tujh se
Mein tujh ko aaj bhi khud se juda likhna nahe bhooli

Chupane ke leye sab dukh abhi bhi muskurati hoon
Mein ab bhi chehre per chehre naya likhna nahe bhooli

Mein ab bhi is judai mein kaii dukh dard sehti hoon
Mein ab bhi teri aankhoon ko shifa likhna nahe bhooli

Kiya thaa tarq-e-taaluq ka iraada aik pal mein ne
Mein ab bhi us iraaday ko saza likhna nahe bhooli

Batao tum mujhe Janaan! mein kaise bhool sakti hoon
Abhi qudrat mera jeevan numa likhna nahe bhooli

Judaee kaat li mein ne magar marnay se kuch pehle
Mein zindaan ke darechoon per saba likhna nahe bhooli …

khaa’n kho gaii merii zindgii na koii pata na koii khabar bhala kya milla humien ishq sey too bhe dar-badar mein bhe dar-badar...

khaa’n kho gaii merii zindgii na koii pata na koii khabar
bhala kya milla humien ishq sey too bhe dar-badar mein bhe dar-badar

wo khizaan key aaney sey paish-tar jhaan baat kartey they baith kar
usii amar-bail ki chaaoun mein koii raah takta hai raat bhar

abhe din charha hai zara zara aey sawaad e shab abhe thehar jaa
abhe kehna chaha tha haal e dil too bhe chal diya mujhey choar kar

na hee dil main hain teri chahtien na shikaayatien na adaavatien
to kya yeh aankhien chalak parrien kabhe ho gya jo tera ziker

khaan dhoondtey ho mera pata main wo phool hon jo bikhar chuka
millien ujrrey ujrrey sey baam o dar to yeh sochna key hai mera ghar

tujhe kho key aankhien bahaiyen khoon tujhey pa key bhe na milley sakoon
meri chahatien bhe ajub rahien merey silsiley bhe ajeeb tar

main kahoun kissi sey to kya khoun hua mujh pey taari ajab fasoun
key sakoot e shab meri zindgii key gham o alam merey humsaffar

jhaan tum they mujh sey khaffa hoye jhaan apney rastey juda hoye
main miloun ga tum ko wohien kahien ussi raah mein ussi moar par

tujhe kya khoun merey hum-nava k bura hua ya bhala hua
kabhe zindgii jo milli mujhey to rahii na baaqii merii umar

Baqi hai abhi ishq main kuch kar-e-ziaan aur kuch der idher chashm-e-tghaful meri jaan aur..

Baqi hai abhi ishq main kuch kar-e-ziaan aur
kuch der idher chashm-e-tghaful meri jaan aur..

har shai ki haqiqat bhi haqiqat main hai parda
hota to hai kuch aur guzarta hai gumaan aur..
Honai se terei itna hua hai ke hui hai
ik chashm-e-tahayyur meri janib nigran aur..

is ishq main woh khu-e-aziyyat hai ke dil se
har taza sitm pe yeh sada aai ke, haan aur !!

kuch der abhi aur yhei ronaq-e-mehfil
kuch der hadis-e-lab-e-shirin-sukhn'an aur..

ab merey siwa koi nhin hai mera mehram
ab dil ke siwa koi nhin jai'amaan aur..

koi bhi nhin hijr main ab sar-ba-gareban
ab shehr ke gham aur hain, adab-e-fughan aur..

dastar gyi sar se magar sar hai salamat
kuch perwi-e-maslak-e-ashafta saraan aur

woh bojh latafat ka uthana hee kathin tha
ab ruh pe hasti ka hai ik bar-e-giran aur..

be-perahani main to woh jo kuch hai, wohi hai
jab husn ho pardai main to hota hai ayaan aur..

dunia ko samjh kr bhi hun khamosh ke akhir
kuch din abhi rehna hai mujhai bhi to yahan aur..

irfan tera tarz-e-sukhan khub hai lekin
kehtay hai ke ghalib ka hai andaz-e-bayan aur..

ye kyaa sitam hai ke ehsaas-e-dard bhii kam hai shab-e-firaaq sitaaroN meN roshnii kam hai...

ye kyaa sitam hai ke ehsaas-e-dard bhii kam hai
shab-e-firaaq sitaaroN meN roshnii kam hai

ye kaisii mauj-e-karam thii nigaah-e-saaqii meN
ke us ke baad se tuufaan-e-tishnagii kam hai

qariib-o-duur se aatii hai aap kii aavaaz
kabhii bahut hai Gham-e-justujuu, kabhii kam hai

shauur-e-ishq ab aayaa hai apnii manzil par
huzuur-e-husn tamannaa-e-beKhudii kam hai

tamaam umr teraa intizaar kar leNge
magar ye ranj rahegaa ke zindagii kam hai

uruuj-e-maah ko insaaN samajh gayaa lekin
hunuuz azmat-e-insaaN se aagahii kam hai

na the bahaar-e-chaman ham magar ye sunte haiN
hamaare baad guloN meN shaguftagii kam hai

na saath deNgii ye dam toRtii hu’ii sham’meN
naye chiraaGh jalaao ke roshnii kam hai