Wednesday, May 23, 2012

CHAL INSHA APNE GAON MEIN!!!

yahan ujle ujle roop bahot;
par asli kam, behroop bahot.

us pairr k neeche kia rukna?

jahan saya kam ho, dhoop bhot.

Chal Insha Apne Gaon Mein...

bethein ge sukh ki chaoon mein.

q teri aankh sawali he?

yahan har ik bat nirali he...

is dais basera mat karna;

yahan muflis hona gaali he...


chal insha apne gaon mein;


jahan sache rishte yaron k...

jahan ghongat zewar naron k...

jahan jharne komal sur wale...

jahan saz bajen bin taron k...


Chal Insha Apne Gaon Mein


CHAL INSHA APNE GAON MEIN!!!

Tuesday, May 22, 2012

Yeh Kiss Ne Kaha Tum Koooch kro, Baatein Na Banao Insha Ji,



Yeh Kiss Ne Kaha Tum Koooch kro Insha JI

yeh kis ne kaha, tum kooch karo
baatein na banao insha ji,
yeh shehar tumhara apna hai
issay chor na jao, insha ji,

ek rooz to kiya wo hashar talak
rakhay gi khula darwaazay ko
kab laut ke ghar ko aao gaiy
sajni ko batao, insha ji,

kiya sooch ke tumne seenchi thi
ye kaisi kiyaari chahat ki
tum jinko hansaatay aye ho
unko na rulao, insha ji,

tum laakh seyaahat ke ho dhani
ek baat humari bhi maano
koi jaa ke jahan se aata nahi
uss des na jao insha ji,

nahi sirf Qateel ki baat yahan
kahin Sahir, kahin Aali hain
tum apnay puraanay yaaroN se
daaman na churaao insha ji,

ye shehar tumhara apna hai
issay chor na jao, insha ji, insha ji, insha ji

ye kis ne kaha, tum kooch karo....

Insha ji! uTho! ab kooch karo, is shehr mein ji ka lagana kya



Insha ji! uTho! ab kooch karo, is shehr mein ji ka lagana kya.
Vehshi ko sukoon se kya matlab, jogi ka nagar mein Thikana kya.

Is dil ke dareeda daman ko dekho to sahi, socho to sahi;
Jis jholi mein sau chhed huhe us jholi ko phailana kya.

Shab beeti, chaand bhi Doob gaya, zanjeer paRi darvaze mein;
Kyon der gaye ghar aaye ho, sajni se karoge bahana kya.

Us husn ke sache moti ko ham dekh sakein, par chhu na sakein;
Jise dekh sakein par chhu na sakein vo daulat kya vo Khazana kya.

Us ko bhi jala dukhte huhe man, ek shola laal bhabhooka ban;
Yoon aansu ban beh jana kya, yoon maTi mein mil jana kya.

Jab shehar ke log na rasta dain, kyon ban mein na ja bisram kare;
Divanoon ki si na baat kare, to aur kare divana kya.

(Poet: Ibn-e-Insha) 

Monday, May 21, 2012

Suno, Aay Chand Si Larki.. Abi Tum Titliyaan Pakro, Ya Phir Guriyon Say Khelo Tum!

 
Suno......Aay Chand Si Larki. . .!

Abhi Tum Titliyaan Pakro
Ya Phir Guriyon Say Kehlo Tum!

Ya Phir Massom Si Aankhon Say
Dhairon Khawab Dekho Tum
Faraz-o-Faiz-o-MOHSIN Ki
Kitaben Mat Abhi Parhna
Ye Sab Lafzon K Sahir Hain,
Tumhien Uljha Kay Rakh Daingay,

Tumhein Maloom Hi Kab Hai,
Mohabbat K Libaday Main,

Hawas Aur Hirs Hoti Hai,
Ye Insanon Ki Dunya Hai,

Magar In Say Kaheen Barh Kar,
Yahan Wehshi Darinday Hain,

Wo Wehshi Jin Ki Aankhon Main
Machaltay Piyar kay Peechay
Hawas aur Hirs Hoti Ha,

Abhi Kachi Kalii Ho Tum......
Abhi Kaanton Say Mat Khelo,

Abhi Apni Hatheli Par
Kisi Ka Naam Mat Likho,
Abhi Apni Kitaabon Main,
Gulaabi Phool Mat Rakho

Abhi Tum Titliyan Pakro
Abhi Guriyoun Say Khailo Tum...,

Sunoo....~! Aay Chand Si Larki.......~