Monday, December 26, 2011

Gumsum si rehguzar thi, kinara nadi ka tha. Pani min chaand, chand min chehra kisi ka tha...

Gumsum si rehguzar thi, kinara nadi ka tha.
Pani min chaand, chand min chehra kisi ka tha.

Ab zindagi sanbhal k leta he tera nam.
Ye dil k jis ko shoq kabhi khudkashi ka tha.

Kuch abar bhi the banjh zameen se dare hoe.
Kuch zaiqa hawa min meri tishnagi ka tha.

Kehne ko dhoondte the sabhi apne khad-o-khaal.
Warna meri ghazal min to sab kuch usi ka tha.

Wo ehtiyat-e-jan thi k be rabti-e-khayal.
Saye pe bhi guman mujhe admi ka tha.

Mushkil kahan the tarak-e-mohabbat k marhale.
Ay dil magar sawal teri zindagi ka tha.

Wo jis ki dosti hi mataa-e-khaloos thi.
Mohsin wo shakhs bhi mera dushman kabhi ka tha.

No comments:

Post a Comment