Monday, December 26, 2011

Jab shaam dhale wo aayi thi...


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

Sharmayi si ghabrayi si
Jab shaam dhale wo aayi thi

Haatho mein pallu ka kona
Raste bhar ghumati aayi thi

Maine puchha jo adab se
Theek to ho
Boli... wo.. woo...
Wo mai mandir ke bahaane aayi thi

Uske marmari haatho ko
Maine chhu ke dekha
Jaise barf se dho kar aayi thi

Muh fer ke khadi ho gayi
Jaise wo meri nahi paraayi thi

Jee me to aaya
Aagosh mein bhar ke
Uske kaano mein kah du
Mere dil mein tumhi samayi thi

Khayaal kiya duniya ka
Ghoonth piya sabr ka
Aur socha bigad na jaaye
Baat meri jo bani banayi thi

Maine has ke bola
ek pal... jara idhar bhi dekho
Shayad tum mujhse milne aayi thi

Pahli... doosri... teesri...
Kuch mulaqaatein aise hi guzri
Dheere Dheere aise ghul gaye jaise
Mai phool aur uski khushbu mujhme samayi thi

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

No comments:

Post a Comment