Thursday, December 15, 2011

Main ne is taur se chaha tujhay aksar janaan, Jasse mahtaab koo bay-ant samandar chahay...

Main ne is taur se chaha tujhay aksar janaan,
Jasse mahtaab koo bay-ant samandar chahay,
Jasse sooraj kii kiran seep k dil main utray,
Jasse khushboo ko hawa rang se hatt kar chahay,
Jasse pathar k klajay se kiran phootii hay,
Jasse khawaboon main khyaloon ke kama tootii hay,
Jasse ghunchay khilay mousam se hina mangtay hain,
Jasse barish kii dua ablaa pa magtay hain,
Mera her khawab mere such kii gawahii day ga,
Wusat-e-deed ne tujh se tere khahish kii hay,
Mere soochoon main kabhii dekh sarapaa apna,
Main ne dunya se alag tere parishtish kii hay,
Khahish e deed ka mousam kabhii dhundla joo hua,
Nooch dalii hain zamanay kii naQabain main ne,
Tere palkoon pe utartii howii subhoon k liye,
Toor dalii hain sitaroon kii tanabain main ne,
Main ne chaha k tere husaan kii gulnaar fiza,
Mere ghazloon kii kataroon se dhaktii jay,
Main ne chaha k mere fun k gulistaan kii bahaar,
Tere ankhoon k gulaboon se mehaktii jay,
Tay to ye tha k sajata rahay lafzoon se kanwal,
Mere khamosh khiyaloon main takalum tera,
Raks karta rahay bharta rahay khushboo ka khumaar,
Mere khahish k jazeeroon main tabbassum tera,
Tou mgr ajnabi mahool kii parwarda kiran,
Mere bujhtii howii ratoon kii sehar kar na sakii,
Tere sansoon main maseehaii thee lakin tou bhii,
Chara-e-zakhm gham-e-deeda-e-tarr kar na sakii,
Tujh koo ehsaas hii kab hay k kisse dard ka daagh,
Ankh se dil main autarr jay to kiya hota hay??
Tou k seemaab tabiyaat hay tujhay kiya maloom??
Mousam-e-hijr thehr jay tou kiya hota hay,
Tou ne us mor pe tora hay ta'aluq k jahan,
Daikh sakta nahii koi bhii palat kar janaan,
Ab yah aalaam hay k ankhain joo khulain gii apnii,
Yaad aye ga tere deed ka manzaar janaan,
Mujh se mangay ga tere ehd-e-mohabaat ka hisaab,
Tere hijraan ka dahakta hua meh'sharr janaan,
Yoon mere dil k barabar tera gham aya,
Jasse sheeshay k mukabil koi pathar janaan....

No comments:

Post a Comment