Sunday, December 18, 2011

Main ke shahkar hoon pathar se nikal aaya hoon, Kitna larka sa main andar se nikal aaya hon!!!!!

Waqt chup chap dabe paon utar aata hai
Sir ke balon main bujhi dhoop ki rungut bun ke
Aur aisay main december ki koi surmaee sham
Mayray ehsas pe jam jati hai hayrat ban ke

Kaheen nuzdeek se uth’ti hoi madhur si hansee
Paas se jata hoa koi khilundra lamha
Khol daita hai mari umr-e-guzishta ki kitab
Aur ik sath kaee varq palat jatay hain
Yaad aa jatay hain wo khuwab se din
Wo bharay din ki si ratain wohi mehtab se din
Bheegi aankhon main ma’ani ke samnadur perhna
Jo kitabon main likha tha usay kam kam takna
Chand chehron pe jo likha tha wo aksar parhna
Roz ik taza qaseeda nai tashbeeb ke sath
Aik hi shakhs ki gul parahan-i per parhna
Lafz perhna bhi to lehjoon ke barabar perhna

Upni yadoon ke dafeenay ki talab mein main ne
Aaj khurchi hay badan say wo shub-o-roz ki gard
To ye ehsas hoa hai mujh ko
Main ke shahkar hoon pathar se nikal aaya hoon
Kitna larka sa main andar se nikal aaya hon!!!!!

No comments:

Post a Comment