Sunday, December 18, 2011

Yun hi hansi hansi mein, Hum dilon se khel jate hain

Yun hi hansi hansi mein
Hum dilon se khel jate hain
Koi chhoti si teekhi baat
koi chubhta hoa jumla
koi zehar aalod lehja
koi be zaraz domani baat
Sunne wale ke dil par ghao laga jaati hai
Phir kitene hi talafi ke marham lagao
Qatrah qatrah khon
Tapakta hi rehta hai
Woh ansoo
Jo aankh se girta hi nahin
Andar hi andar jam jaata hai
Barf par gire garam mom ke qatre ki tarah
Aur woh barf toh shayed
Waqt ki garmi se pighal jaati hai
Magar woh qatra
Jab bhi pighalne lagta hai phail jaata hai
Badh jaata hai bas khatam nahin hota
Aur
Yun hi hansi hansi main
Hum dilon se khel jaate hain

No comments:

Post a Comment