Sunday, December 18, 2011

Bas ki dushwaar hai har kaam ka aasaan honaaa, Aadamii ko bhii mayassar nahiin insaan honaa...

Bas ki dushwaar hai har kaam ka aasaan honaaa
Aadamii ko bhii mayassar nahiin insaan honaa

Giriyaa chaahe hai Kharaabii mere kaashaane kii
Dar-o-diivaar se Tapake hai bayaabaan honaa

Waa-e-diiwaangii-e-shauq ke har dam mujh ko
Aap jaanaa udhar aur aap hii hairaaN honaa

Ishrat-e-qatl_gah-e-ahal-e-tamannaa mat puuchh
Eiid-e-nazzaaraa hai shamashiir kaa uriyaan honaa

Ishrat-e-paaraa-e-dil, zaKhm-e-tamannaa_Khaanaa
Iazzat-e-riish-e-jigar Garq-e-namakdaaN honaa

Kii mere qatl ke baad us ne jafaa se taubaa
Haaye us zod_pashemaaN kaa pashemaaN honaa

Haif us chaar girah kapDe kii qismat 'Ghalib'
Jis kii qismat men ho aashiq kaa garebaaN honaa

Mirza Ghalib

No comments:

Post a Comment