Thursday, December 15, 2011

Who humsafar tha, magar uss say humnawaayi thi..

Tarq-e-taaluqaat pe roya na tu, na main.. Lekin ke yeh kya chain se soya na tu, na main..
Jab tak bikaa na tha, to koi poochhta na tha.. Tumnay mujhe khareed kar anmol kar diya..
Who humsafar tha, magar uss say humnawaayi thi,
Ke dhoop chhaon ka alam raha, judaai na thi..
Suna hai ghair ki mehfil main tum na jaoge.. kaho to aaj sajaa loon gharib-khanay ko..
Adavaatain thi, taghaful tha, ranjishain thi magar,
Bichhaddnay walay mein sab kuch tha, bewafai na thi..
Kaaga sab tann khaaiyo, chun chun khaiyo maas.. do naina mat khaaiyo, inhe Piya milan ki aas..
Bichhaddtay waqt un aankhon mein thi humari ghazal,
Ghazal bhi who jo kisi ko abhi sunayi na thi..
Teri soorat se nahin milti kisi ki soorat, hum jahan mein teri tasveer liye phirtay hain..
Tulsi aisi preet na kar, jaisay lambi khajoor, dhoop lagay to chhaon nahin, bookh lagay, phal door..
Ajeeb hoti hai raahay-sukhan bhi, dekh Naseer,
Wahan bhi aa gaye jahan rasaai na thi..

No comments:

Post a Comment